aae kuchh abr kuchh sharab aae is ke baad aae jo azaab aae bam-e-mina se mahtab utre dast-e-saqi men aftab aae har rag-e-khun men phir charaghhan ho samne phir vo be-naqab aae umr ke har varaq pe dil ki nazar teri mehr-o-vafa ke baab aae kar raha tha ghham-e-jahan ka hisab aaj tum yaad be-hisab aae na gai tere ghham ki sardari dil men yuun roz inqalab aae jal uthe bazm-e-ghhair ke dar-o-bam jab bhi ham khanuman-kharab aae is tarah apni khamushi gunji goya har samt se javab aae 'faiz' thi raah sar-ba-sar manzil ham jahan pahunche kamyab aae aae kuchh abr kuchh sharab aae is ke baad aae jo azab aae baam-e-mina se mahtab utre dast-e-saqi mein aaftab aae har rag-e-khun mein phir charaghan ho samne phir wo be-naqab aae umr ke har waraq pe dil ki nazar teri mehr-o-wafa ke bab aae kar raha tha gham-e-jahan ka hisab aaj tum yaad be-hisab aae na gai tere gham ki sardari dil mein yun roz inqalab aae jal uthe bazm-e-ghair ke dar-o-baam jab bhi hum khanuman-kharab aae is tarah apni khamushi gunji goya har samt se jawab aae 'faiz' thi rah sar-ba-sar manzil hum jahan pahunche kaamyab aae
Related Ghazal
kabhi milenge to ye karz bhi utaarenge tumhaare chehre ko paharon talak nihaarenge ye kya sitam ki khilaadi badal diya usne ham is umeed pe baithe the ham hi haarenge hamaare baad tere ishq men naye ladke badan to choomenge zulfen nahin sanvaarenge
Vikram Gaur Vairagi
70 likes
ab mere saath nahin hai samjhe naasamjhaane kii baat nahin hai samjhe naa tum maangoge aur tumhein mil jaayega pyaar hai ye khairaat nahin hai samjhe naa main baadal hooñ jis par chaahoon barsoonga meri koii zaat nahin hai samjhe naa apna khaali haath mujhe mat dikhlaao is men meraa haath nahin hai samjhe naa
Zubair Ali Tabish
66 likes
pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira
Fahmi Badayuni
96 likes
seena dahak raha ho to kya chup rahe koi kyun cheekh cheekh kar na gala chheel le koi saabit hua sukoon-e-dil-o-jaan kahii nahin rishton men dhoondhta hai to dhoonda kare koi tark-e-taalluqaat koi mas'ala nahin ye to vo raasta hai ki bas chal pade koi deewaar jaanta tha jise main vo dhool thii ab mujh ko e'timaad ki daawat na de koi main KHud ye chahta hooñ ki haalaat hooñ KHaraab mere KHilaaf zahar ugalta phire koi ai shaKHs ab to mujh ko s abhii kuchh qubool hai ye bhi qubool hai ki tujhe cheen le koi haan theek hai main apni ana ka mareez hooñ aaKHir mere mizaaj men kyun dakhl de koi ik shaKHs kar raha hai abhii tak vafaa ka zikr kaash us zabaan-daraaz ka munh noch le koi
Jaun Elia
77 likes
zane haseen thii aur phool chun kar laati thii main she'r kahtaa tha vo dastaan sunaati thii arab lahu tha ragon men badan sunhara tha vo muskuraati nahin thii dii.e jalaati thii ali se door raho log usse kahte the vo meraa sach hai bahut cheekh kar bataati thii ali ye log tumhein jaante nahin hain abhii gale lagaakar meraa hausla badhaati thii ye phool dekh rahe ho ye uskaa lahjaa tha ye jheel dekh rahe ho yahaañ vo aati thii main uske baad k abhii theek se nahin jaaga vo mujh...ko khwaab nahin neend se jagati thii use kisi se mohabbat thii aur vo main nahin tha ye baat mujhse zyaada use roolaati thii main kuchh bataa nahin saka vo meri kya thii ali ki us..ko dekhkar bas apni yaad aati thii
Ali Zaryoun
102 likes
More from Faiz Ahmad Faiz
garmi-e-shauq-e-nazara ka asar to dekho gul khile jaate hain vo saaya-e-tar to dekho aise naadaan bhi na the jaañ se guzarne waale naaseho pand-garo raahguzar to dekho vo to vo hai tumhein ho jaayegi ulfat mujh se ik nazar tum mira mahboob-e-nazar to dekho vo jo ab chaak garebaan bhi nahin karte hain dekhne waalo kabhi un ka jigar to dekho daaman-e-dard ko gulzaar banaa rakha hai aao ik din dil-e-pur-khoon ka hunar to dekho subh ki tarah jhamkata hai shab-e-gham ka ufuq faiz taabindagi-e-deeda-e-tar to dekho
Faiz Ahmad Faiz
1 likes
baat bas se nikal chali hai dil ki haalat sambhal chali hai ab junoon had se badh chala hai ab tabi'at bahl chali hai ashk khoonaab ho chale hain gham ki rangat badal chali hai ya yoonhi bujh rahi hain shamaein ya shab-e-hijr tal chali hai laakh paighaam ho ga.e hain jab saba ek pal chali hai jaao ab so raho sitaaro dard ki raat dhal chali hai
Faiz Ahmad Faiz
1 likes
ab ke baras dastoor-e-sitam men kya kya baab izaad hue jo qaateel the maqtool hue jo said the ab sayyaad hue pahle bhi khizaan men baagh ujde par yuñ nahin jaise ab ke baras saare boote patta patta ravish ravish barbaad hue pahle bhi tawaaf-e-sham-e-wafa thii rasm mohabbat waalon ki ham tum se pahle bhi yahaañ mansoor hue farhaad hue ik gul ke murjhaane par kya gulshan men kohraam macha ik chehra kumhala jaane se kitne dil naashaad hue faiz na ham yusuf na koi yaqoob jo ham ko yaad kare apni kya kanaan men rahe ya misr men ja aabaad hue
Faiz Ahmad Faiz
0 likes
vo buton ne dale hain vasvase ki dilon se khauf-e-khuda gaya vo padi hain roz qayaamaatein ki khayal-e-roz-e-jaza gaya jo nafs tha khaar-e-guloo banaa jo uthe the haath lahu hue vo nashaat-e-aah-e-sehr gaii vo waqar-e-dast-e-dua gaya na vo rang fasl-e-bahaar ka na ravish vo abr-e-bahaar ki jis ada se yaar the aashna vo mizaaj-e-baad-e-saba gaya jo talab pe ahad-e-wafaa kiya to vo aabroo-e-wafa gaii sar-e-aam jab hue muddai to sawaab-e-sidq-o-safa gaya abhii baadbaan ko tah rakho abhii muztarib hai rukh-e-hawa kisi raaste men hai muntazir vo sukoon jo aa ke chala gaya
Faiz Ahmad Faiz
1 likes
aap kii yaad aati rahi raat bhar chaandni dil dukhaati rahi raat bhar gaah jaltee hui gaah bujhti hui sham-e-gham jhilmilaati rahi raat bhar koii KHushboo badalti rahi pairhan koii tasveer gaati rahi raat bhar phir saba saaya-e-shaakh-e-gul ke tale koii qissa sunaati rahi raat bhar jo na aaya use koii zanjeer-e-dar har sadaa par bulaati rahi raat bhar ek ummeed se dil bahalta raha ik tamannaa sataati rahi raat bhar
Faiz Ahmad Faiz
4 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Faiz Ahmad Faiz.
Similar Moods
More moods that pair well with Faiz Ahmad Faiz's ghazal.







