aaghaaz to hota hai anjaam nahin hota jab meri kahaanii men vo naam nahin hota jab zulf ki kaalk men ghul jaa.e koi raahi badnaam sahi lekin gumnaam nahin hota hañs hañs ke jawaan dil ke ham kyun na chunen tukde har shaKHs ki qismat men inaam nahin hota dil tod diya us ne ye kah ke nigaahon se patthar se jo takraaye vo jaam nahin hota din doobe hai ya doobebaaraat li.e kashtii saahil pe magar koi kohraam nahin hota
Related Ghazal
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
kabhi milenge to ye karz bhi utaarenge tumhaare chehre ko paharon talak nihaarenge ye kya sitam ki khilaadi badal diya usne ham is umeed pe baithe the ham hi haarenge hamaare baad tere ishq men naye ladke badan to choomenge zulfen nahin sanvaarenge
Vikram Gaur Vairagi
70 likes
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
usoolon pe jahaan aanch aa.e takr aanaa zaroori hai jo zinda hon to phir zinda nazar aanaa zaroori hai nayi umron ki khudmukhtaariyon ko kaun samjh aa.e kahaan se bach ke chalna hai kahaan j aanaa zaroori hai thake haare parinde jab basere ke liye lautain saleeqamand shaakhon ka lachak j aanaa zaroori hai bahut bebaak aankhoñ men talluq tik nahin paata muhabbat men kashish rakhne ko sharm aanaa zaroori hai saleeqa hi nahin shaayad use mehsoos karne ka jo kahtaa hai KHuda hai to nazar aanaa zaroori hai mere honthon pe apni pyaas rakh do aur phir socho ki iske baad bhi duniya men kuchh p aanaa zaroori hai
Waseem Barelvi
107 likes
ye maine kab kaha ki mere haq men faisla kare agar vo mujh se KHush nahin hai to mujhe juda kare main uske saath jis tarah guzaarta hooñ zindagi use to chahiye ki meraa shukriya ada kare meri dua hai aur ik tarah se baddua bhi hai KHuda tumhein tumhaare jaisi betiyaan ata kare banaa chuka hooñ main mohabbaton ke dard ki davaa agar kisi ko chahiye to mujhse raabta kare
Tehzeeb Hafi
292 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Meena Kumari Naaz.
Similar Moods
More moods that pair well with Meena Kumari Naaz's ghazal.







