ghazalKuch Alfaaz

aaina rakhte to apni kaj-adai dekhte kaash tum bhi khud men thodi si burai dekhte bujh gai hai aankh ab manzar men kuchh rakkha nahin varna ham bhi khvab ki jalva-numai dekhte thak gae hain lafz ab khamosh rahna hi bhala ab bhala kya harf-o-ma'ni ki ladai dekhte padh liya hota agar tum ne hamare zakhm ko ham men ik ujdi hui puuri khudai dekhte khud se ham bahar nikal paae nahin 'umr-e-tamam tujh tak ai duniya kahan apni rasai dekhte rah gae mit kar ham apni bebasi ke mod par phir kahan se 'ishq ki ham parsai dekhte jis jagah ham ne ganvai apni 'umr-e-be-samar kaash tum bhi vo jagah vo bevafai dekhte ek muddat se ta'alluq sirf majburi raha tum kabhi to 'ishq men vo ashnai dekhte khuun thuka hai to ja kar ye ghhazal paida hui kaash tum bhi lafz ki ye khuun chukai dekhte khatm hai ab ye tamasha khaak daalo ham pe bhi kab talak 'sahil' tum apni jag-hansai dekhte aaina rakhte to apni kaj-adai dekhte kash tum bhi khud mein thodi si burai dekhte bujh gai hai aankh ab manzar mein kuchh rakkha nahin warna hum bhi khwab ki jalwa-numai dekhte thak gae hain lafz ab khamosh rahna hi bhala ab bhala kya harf-o-ma'ni ki ladai dekhte padh liya hota agar tum ne hamare zakhm ko hum mein ek ujdi hui puri khudai dekhte khud se hum bahar nikal pae nahin 'umr-e-tamam tujh tak ai duniya kahan apni rasai dekhte rah gae mit kar hum apni bebasi ke mod par phir kahan se 'ishq ki hum parsai dekhte jis jagah hum ne ganwai apni 'umr-e-be-samar kash tum bhi wo jagah wo bewafai dekhte ek muddat se ta'alluq sirf majburi raha tum kabhi to 'ishq mein wo aashnai dekhte khun thuka hai to ja kar ye ghazal paida hui kash tum bhi lafz ki ye khun chukai dekhte khatm hai ab ye tamasha khak dalo hum pe bhi kab talak 'sahil' tum apni jag-hansai dekhte

Related Ghazal

KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai

Shabeena Adeeb

232 likes

yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle

Anand Raj Singh

526 likes

usoolon pe jahaan aanch aa.e takr aanaa zaroori hai jo zinda hon to phir zinda nazar aanaa zaroori hai nayi umron ki khudmukhtaariyon ko kaun samjh aa.e kahaan se bach ke chalna hai kahaan j aanaa zaroori hai thake haare parinde jab basere ke liye lautain saleeqamand shaakhon ka lachak j aanaa zaroori hai bahut bebaak aankhoñ men talluq tik nahin paata muhabbat men kashish rakhne ko sharm aanaa zaroori hai saleeqa hi nahin shaayad use mehsoos karne ka jo kahtaa hai KHuda hai to nazar aanaa zaroori hai mere honthon pe apni pyaas rakh do aur phir socho ki iske baad bhi duniya men kuchh p aanaa zaroori hai

Waseem Barelvi

107 likes

tum haqeeqat nahin ho hasrat ho jo mile KHvaab men vo daulat ho tum ho KHushboo ke KHvaab ki KHushboo aur itne hi bemuravvat ho kis tarah chhod doon tumhein jaanaan tum meri zindagi ki aadat ho kislie dekhte ho aaina tum to KHud se bhi khoobsurat ho dastaan khatm hone waali hai tum meri aakhiri muhabbat ho

Jaun Elia

315 likes

teri mushkil na badaaunga chala jaaunga ashk aankhoñ men chhupaaunga chala jaaunga apni dahleez pe kuchh der pada rahne de jaise hi hosh men aaunga chala jaaunga KHvaab lene koi aa.e ki na aa.e koi main to awaaz lagaauñga chala jaaunga chand yaaden mujhe bacchon ki tarah pyaari hain unko seene se lagaauñga chala jaaunga muddaton baad main aaya hooñ purane ghar men KHud ko jee bhar ke rulaaunga chala jaaunga is jazeera men ziyaada nahin rahna ab to aajkal naav banaoonga chala jaaunga mausam-e-gul ki tarah laut ke aaunga hasan har taraf phool khilaaoonga chala jaaunga

Hasan Abbasi

235 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Ateeb Anwar Sahil.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Ateeb Anwar Sahil's ghazal.