ghazalKuch Alfaaz

aaj phir un se mulaqat pe rona aaya bhuli-bisri hui har baat pe rona aaya ghhair ke lutf-o-inayat pe rona aaya aur apnon ki shikayat pe rona aaya aql ne tark-e-taalluq ko ghhanimat jaana dil ko badle hue halat pe rona aaya ahl-e-dil ne kiye taamir haqiqat ke sutun ahl-e-duniya ko rivayat pe rona aaya ham na samjhe the ki rusvai-e-ulfat to hai ai junun teri khurafat pe rona aaya vo bhi din the ki bahut naaz tha apne uupar aaj khud apni hi auqat pe rona aaya mana karte magar is tarah se lazim bhi na tha aap ke talkh javabat pe rona aaya chhodiye bhi miri qismat men likha tha ye bhi aap ko kyuun mire halat pe rona aaya aaj phir un se mulaqat pe rona aaya bhuli-bisri hui har baat pe rona aaya ghair ke lutf-o-inayat pe rona aaya aur apnon ki shikayat pe rona aaya aql ne tark-e-talluq ko ghanimat jaana dil ko badle hue haalat pe rona aaya ahl-e-dil ne kiye tamir haqiqat ke sutun ahl-e-duniya ko riwayat pe rona aaya hum na samjhe the ki ruswai-e-ulfat to hai ai junun teri khurafat pe rona aaya wo bhi din the ki bahut naz tha apne upar aaj khud apni hi auqat pe rona aaya mana karte magar is tarah se lazim bhi na tha aap ke talkh jawabaat pe rona aaya chhodiye bhi meri qismat mein likha tha ye bhi aap ko kyun mere haalat pe rona aaya

Related Ghazal

kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla

Tehzeeb Hafi

435 likes

KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai

Shabeena Adeeb

232 likes

ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen

Ahmad Faraz

130 likes

usoolon pe jahaan aanch aa.e takr aanaa zaroori hai jo zinda hon to phir zinda nazar aanaa zaroori hai nayi umron ki khudmukhtaariyon ko kaun samjh aa.e kahaan se bach ke chalna hai kahaan j aanaa zaroori hai thake haare parinde jab basere ke liye lautain saleeqamand shaakhon ka lachak j aanaa zaroori hai bahut bebaak aankhoñ men talluq tik nahin paata muhabbat men kashish rakhne ko sharm aanaa zaroori hai saleeqa hi nahin shaayad use mehsoos karne ka jo kahtaa hai KHuda hai to nazar aanaa zaroori hai mere honthon pe apni pyaas rakh do aur phir socho ki iske baad bhi duniya men kuchh p aanaa zaroori hai

Waseem Barelvi

107 likes

kiya baadlon men safar zindagi bhar zameen par banaya na ghar zindagi bhar sabhi zindagi ke maze lootte hainna aaya ha men ye hunar zindagi bhar mohabbat rahi chaar din zindagi men raha chaar din ka asar zindagi bhar

Anwar Shaoor

95 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Zaki kakorvi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Zaki kakorvi's ghazal.