ghazalKuch Alfaaz

aanaa tha jise aaj vo aaya to nahin hai ye vaqt badlne ka ishaara to nahin hai daawat de k abhii kyun vo mohabbat se bul aa.e dariyaa se mirii pyaas ka rishta to nahin hai ye kaun gaya hai ki jhapakti nahin aañkhen raaste men vo thehra hua lamha to nahin hai hansta hua chehra hai damkata hua paikar guzra hua ye meraa zam aanaa to nahin hai aankhoñ ne abhii neend ka daaman nahin chhodaa KHvaabon se bharosa abhii toota to nahin hai dariyaa men sar-e-shaam hai dooba hua suraj din-bhar ka musaafir koi pyaasa to nahin hai chhod aa.e ho jis ke li.e aanchal ki ghani chaanv is shahar men vo dhoop ka tukda to nahin hai raaste men faheem us ki tabi'at ka bigadna ghar jaane ka ik aur bah aanaa to nahin hai

Related Ghazal

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

Rehman Faris

196 likes

chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon

Ali Zaryoun

105 likes

kiya baadlon men safar zindagi bhar zameen par banaya na ghar zindagi bhar sabhi zindagi ke maze lootte hainna aaya ha men ye hunar zindagi bhar mohabbat rahi chaar din zindagi men raha chaar din ka asar zindagi bhar

Anwar Shaoor

95 likes

jo tere saath rahte hue sogwaar ho laanat ho aise shaKHs pe aur beshumaar ho ab itni der bhi na laga ye ho na kahii tu aa chuka ho aur teraa intezar ho main phool hooñ to phir tere baalo men kyuuñ nahin hooñ tu teer hai to mere kaleje ke paar ho ek aasteen chadhaane ki aadat ko chhod kar haafi tum aadmi to bahut shaandaar ho

Tehzeeb Hafi

268 likes

More from Faheem Jogapuri

kya koi tasveer ban sakti hai soorat ke baghair phir kisi se kyun mile koi zaroorat ke baghair dushmani to chaahne ki intiha ka naam hai ye kahaanii bhi adhuri hai mohabbat ke baghair teri yaaden ho gaiin jaise muqaddas aayatein chain aata hi nahin dil ko tilaavat ke baghair dhoop ki har saans ginte shaam tak jo aa ga.e chaanv men vo kya jiein jeene ki aadat ke baghair bach gaya daaman agar mere lahu ke daagh se vo mira qaateel to mar jaayega shohrat ke baghair us ki sardaari se ab inkaar karna chahiye raushni deta nahin suraj siyaasat ke baghair husn ki dookaan ho ki ishq ka bazaar ho yaa koi sauda nahin hai dil ki daulat ke baghair shabnami chehra chhupaau kaise bacchon se faheem shaam aati hi nahin ghar men tahaarat ke baghair

Faheem Jogapuri

0 likes

shaam KHaamosh hai pedon pe ujaala kam hai laut aa.e hain sabhi ek parinda kam hai dekh kar sookh gaya kaise badan ka paani main na kahtaa tha mirii pyaas se dariyaa kam hai KHud se milne ki kabhi gaav men furqat na mili shahar aa.e hain yahaañ milna-milaana kam hai aaj kyun aankhoñ men pahle se nahin hain aañsu aaj kya baat hai kyun mauj men dariyaa kam hai apne mehmaan ko palkon pe bitha letii hai muflisi jaanti hai ghar main bichhauna kam hai bas yahii soch ke karne lage hijrat aañsu apni laashon ke muqaabil yahaañ kaandha kam hai dil ki har baat zabaan par nahin aati hai faheem main ne socha hai ziyaada use likkha kam hai

Faheem Jogapuri

0 likes

dosti men na dushmani men ham kya nazar aayenge kisi men ham kyun sajaate hain KHvaab sadiyon ke chand lamhon ki zindagi men ham sair karte hain dono aalam ki apne KHvaabon ki paalki men ham jab tumhaara khayal aata hai doob jaate hain raushni men ham koi awaaz kyun nahin deta dagmagate hain teergii men ham pyaas ham ko kahii sataati hai tairte hain kahii nadi men ham raat hoti to koi baat na thii loot ga.e din ki raushni men ham apne maazi se baat karte hain teri yaadon ki chaandni men ham

Faheem Jogapuri

1 likes

apne qadam ki chaap se yuñ dar rahe hain ham maqtal ki samt jaise safar kar rahe hain ham kya chaand aur taaron ko ham jaante nahin ai aasmaan waalo zameen par rahe hain ham mushkil tha sathe-aab se ham ko khangaalnaa baahar nahin the jitna ki andar rahe hain ham kal aur koi vaqt ki aankhoñ men ho to kya ab tak to har nigaah ka mehwar rahe hain ham dair-o-haram se aur bhi aage nikal ga.e haan aql ki hudoos se baahar rahe hain ham ai hum-safar na pooch masafat naseeb se tu jaanta hai kitne dinon ghar rahe hain ham baahar na aa.e ham bhi ana ke hisaar se is jang men tumhaare barabar rahe hain ham jharnon ki kya bisaat karen guftugoo faheem dariyaa gire jahaan vo samundar rahe hain ham

Faheem Jogapuri

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Faheem Jogapuri.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Faheem Jogapuri's ghazal.