ankhon men chubh gaiin tiri yadon ki kirchiyan kandhon pe ghham ki shaal hai aur chand raat hai dil tod ke khamosh nazaron ka kya mila shabnam ka ye saval hai aur chand raat hai campus ki nahr par hai tira haath haath men mausam bhi la-zaval hai aur chand raat hai har ik kali ne odh liya matami libas har phuul pur-malal hai aur chand raat hai chhalka sa pad raha hai 'vasi' vahshaton ka rang har chiiz pe zaval hai aur chand raat hai aankhon mein chubh gain teri yaadon ki kirchiyan kandhon pe gham ki shaal hai aur chand raat hai dil tod ke khamosh nazaron ka kya mila shabnam ka ye sawal hai aur chand raat hai campus ki nahr par hai tera hath hath mein mausam bhi la-zawal hai aur chand raat hai har ek kali ne odh liya matami libas har phul pur-malal hai aur chand raat hai chhalka sa pad raha hai 'wasi' wahshaton ka rang har chiz pe zawal hai aur chand raat hai
Related Ghazal
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
232 likes
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen
Ahmad Faraz
130 likes
usoolon pe jahaan aanch aa.e takr aanaa zaroori hai jo zinda hon to phir zinda nazar aanaa zaroori hai nayi umron ki khudmukhtaariyon ko kaun samjh aa.e kahaan se bach ke chalna hai kahaan j aanaa zaroori hai thake haare parinde jab basere ke liye lautain saleeqamand shaakhon ka lachak j aanaa zaroori hai bahut bebaak aankhoñ men talluq tik nahin paata muhabbat men kashish rakhne ko sharm aanaa zaroori hai saleeqa hi nahin shaayad use mehsoos karne ka jo kahtaa hai KHuda hai to nazar aanaa zaroori hai mere honthon pe apni pyaas rakh do aur phir socho ki iske baad bhi duniya men kuchh p aanaa zaroori hai
Waseem Barelvi
107 likes
More from Wasi Shah
hazaaron dukh pade sahna mohabbat mar nahin sakti hai tum se bas yahii kehna mohabbat mar nahin sakti tira har baar mere khat ko padhna aur ro dena mira har baar likh dena mohabbat mar nahin sakti kiya tha ham ne campus ki nadi par ik haseen vaa'da bhale ham ko pade marna mohabbat mar nahin sakti purane ahd ko jab zinda karne ka khayal aa.e mujhe bas itnaa likh dena mohabbat mar nahin sakti vo teraa hijr ki shab phone rakhne se zaraa pahle bahut rote hue kehna mohabbat mar nahin sakti ga.e lamhaat furqat ke kahaan se dhundh kar laaun vo paharon haath par likhna mohabbat mar nahin sakti
Wasi Shah
7 likes
samandar men utarta hooñ to aañkhen bheeg jaati hain tiri aankhoñ ko padhta hooñ to aañkhen bheeg jaati hain tumhaara naam likhne ki ijaazat chin gaii jab se koi bhi lafz likhta hooñ to aañkhen bheeg jaati hain tiri yaadon ki khushboo khidkiyon men raqs karti hai tire gham men sulagta hooñ to aañkhen bheeg jaati hain na jaane ho gaya hooñ is qadar hassaas main kab se kisi se baat karta hooñ to aañkhen bheeg jaati hain main saara din bahut masroof rehta hooñ magar jyuun hi qadam chaukhat pe rakhta hooñ to aañkhen bheeg jaati hain har ik muflis ke maathe par alam ki daastaanen hain koi chehra bhi padhta hooñ to aañkhen bheeg jaati hain bade logon ke unche bad-numa aur sard mahlon ko gareeb aankhoñ se takta hooñ to aañkhen bheeg jaati hain tire kooche se ab meraa ta'alluq waajibi sa hai magar jab bhi guzarta hooñ to aañkhen bheeg jaati hain hazaaron mausamon ki hukmraani hai mire dil par vasi main jab bhi hansta hooñ to aañkhen bheeg jaati hain
Wasi Shah
15 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Wasi Shah.
Similar Moods
More moods that pair well with Wasi Shah's ghazal.







