aap ki yaad aati rahi raat bhar chashm-e-nam muskurati rahi raat bhar raat bhar dard ki shama jalti rahi ghham ki lau thartharati rahi raat bhar bansuri ki surili suhani sada yaad ban ban ke aati rahi raat bhar yaad ke chand dil men utarte rahe chandni jagmagati rahi raat bhar koi divana galiyon men phirta raha koi avaz aati rahi raat bhar aap ki yaad aati rahi raat bhar chashm-e-nam muskuraati rahi raat bhar raat bhar dard ki shama jalti rahi gham ki lau thartharaati rahi raat bhar bansuri ki surili suhani sada yaad ban ban ke aati rahi raat bhar yaad ke chand dil mein utarte rahe chandni jagmagati rahi raat bhar koi diwana galiyon mein phirta raha koi aawaz aati rahi raat bhar
Related Ghazal
jaam cigarette kash aur bas kuchh dhuaan aakhirsh aur bas maut tak zindagi ka safar raat-din kashmakash aur bas pee gaya ped aandhi magar gir pada kha ke ghash aur bas zindagi jaltee cigarette hai sirf do-chaar kash aur bas sookhte ped ki lakdiyaan aakhiri peshkash aur bas
Sandeep Thakur
50 likes
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
sabne dil se use utaara tha vo mari kab thii us..ko maara tha pairo'n men girke jeeta tha jis..ko us..ko paane men KHudko haara tha tere mere men bat gaya sabkuchh ek taaim tha sab hamaara tha uski yaadon men dil jale hai ab jiska chehra nahin gawara tha maine vo khoya jo meraa nahin tha tumne vo khoya jo tumhaara tha jeet sakaa tha usse main kaatib par bade hausale se haara tha
Himanshi babra KATIB
43 likes
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
thoda likkha aur ziyaada chhod diya aane waalon ke li.e rastaa chhod diya tum kya jaano us dariyaa par kya guzri tumne to bas paani bharna chhod diya ladkiyaan ishq men kitnii paagal hoti hain phone baja aur choolha jalta chhod diya roz ik patta mujh men aa girta hai jab se maine jungle jaana chhod diya bas kaanon par haath rakhe the thodii der aur phir us aawaaz ne peecha chhod diye
Tehzeeb Hafi
262 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Makhdoom Mohiuddin.
Similar Moods
More moods that pair well with Makhdoom Mohiuddin's ghazal.







