asman kuchh bhi nahin ab tere karne ke liye main ne sab tayyariyan kar li hain marne ke liye is bulandi khauf se azad ho us ne kaha chand se jab bhi kaha niche utarne ke liye ab zamin kyuun tere naqshe se nahin hatti nazar rang kya koi bacha hai is men bharne ke liye ye jagah hairat-sarae hai kahan thi ye khabar yunhi aa nikla tha main to sair karne ke liye kitna asan lag raha hai mujh ko aage ka safar chhod aaya pichhe parchhain ko darne ke liye aasman kuchh bhi nahin ab tere karne ke liye main ne sab tayyariyan kar li hain marne ke liye is bulandi khauf se aazad ho us ne kaha chand se jab bhi kaha niche utarne ke liye ab zamin kyun tere naqshe se nahin hatti nazar rang kya koi bacha hai is mein bharne ke liye ye jagah hairat-sarae hai kahan thi ye khabar yunhi aa nikla tha main to sair karne ke liye kitna aasan lag raha hai mujh ko aage ka safar chhod aaya pichhe parchhain ko darne ke liye
Related Ghazal
chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon
Ali Zaryoun
105 likes
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
paagal kaise ho jaate hain dekho aise ho jaate hain KHvaabon ka dhanda karti ho kitne paise ho jaate hain duniya sa hona mushkil hai tere jaise ho jaate hain mere kaam KHuda karta hai tere vaise ho jaate hain
Ali Zaryoun
158 likes
KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
232 likes
usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge
Tehzeeb Hafi
465 likes
More from Shahryar
tere vaade ko kabhi jhooth nahin samjhoonga aaj ki raat bhi darwaaza khula rakkhoonga dekhne ke li.e ik chehra bahut hota hai aankh jab tak hai tujhe sirf tujhe dekhoonga meri tanhaaii ki ruswaai ki manzil aayi vasl ke lamhe se main hijr ki shab badloonga shaam hote hi khulii sadkon ki yaad aati hai sochta roz hooñ main ghar se nahin nikloonga ta-ki mahfooz rahe mere qalam ki hurmat sach mujhe likhna hai main husn ko sach likkhoonga
Shahryar
6 likes
dil cheez kya hai aap mirii jaan leejie bas ek baar meraa kaha maan leejie is anjuman men aap ko aanaa hai baar baar deewar-o-dar ko ghaur se pahchaan leejie m aanaa ki doston ko nahin dosti ka paas lekin ye kya ki gair ka ehsaan leejie kahiye to aasmaañ ko zameen par utaar laayein mushkil nahin hai kuchh bhi agar thaan leejie
Shahryar
8 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Shahryar.
Similar Moods
More moods that pair well with Shahryar's ghazal.







