ghazalKuch Alfaaz

aa.e din mujhse KHafaa rehta hai dil ko ik dar sa laga rehta hai saara din pyaar karega mujhse jaise tu ghar pe badaa rehta hai sabse kahti hai tumhaara shayar mere pahluu men pada rehta hai ishq vo khel hai jis men har vaqt jaan ka khatra banaa rehta hai

Related Ghazal

chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon

Ali Zaryoun

105 likes

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

kya ghalatfahmi men rah jaane ka sadma kuchh nahin vo mujhe samjha to saka tha ki aisa kuchh nahin ishq se bach kar bhi banda kuchh nahin hota magar ye bhi sach hai ishq men bande ka bachta kuchh nahin jaane kaise raaz seene men li.e baitha hai vo zahr kha leta hai par munh se ugalta kuchh nahin shukr hai ki usne mujhse kah diya ki kuchh to hai main usse kehne hi vaala tha ki achha kuchh nahin

Tehzeeb Hafi

105 likes

kiya baadlon men safar zindagi bhar zameen par banaya na ghar zindagi bhar sabhi zindagi ke maze lootte hainna aaya ha men ye hunar zindagi bhar mohabbat rahi chaar din zindagi men raha chaar din ka asar zindagi bhar

Anwar Shaoor

95 likes

nahin tha apna magar phir bhi apna apna laga kisi se mil ke bahut der baad achha laga tumhein laga tha main mar jaaunga tumhaare baghair batao phir tumhein meraa mazaak kaisa laga tijoriyon pe nazar aur log rakhte hain main aasmaan chura loonga jab bhi mauqa laga dikhaati hai bharii almaariyaan bade dil se bataati hai ki mohabbat men kiska kitna laga

Tehzeeb Hafi

94 likes

More from Kushal Dauneria

husn ik gulsitaan ka maali hai aankh shahtoot badan daali hai maine kuchh der udaasi hañs kar maari hai maar nahin daali hai saaj-o-shringaar se chamkaaya badan ek hi note vo bhi jaali hai

Kushal Dauneria

24 likes

jis shaam us..ko train men baitha ke aaya tha main us..ko uske pyaar se milva ke aaya tha uski basi basaai main duniya ujaad kar jo kha nahin sakaa use faila ke aaya tha mere naseeb men kahii baitha tumhaara dukh lagta tha jaise maa ki qasam kha ke aaya tha

Kushal Dauneria

26 likes

maine to bas mazaq men poocha KHaraab hai vo peer haath dekh ke bola kharaab hai har din use dikhaaya ki kitne shareef hain har raat uske baare men socha kharaab hai ye ishq ho chuka hai turup-chaal taash ki aage ghulaam ke mira ikka kharaab hai azaad ladkiyon se bhalii qaid auratein matlab ki jheel theek hai dariyaa kharaab hai ham jis KHuda ki aas men baithe hain raat din vo ja chuka hai bol ke duniya kharaab hai zyaada kisi ki maut pe rona nahin sahi aur janmdin pe shor sharaaba kharaab hai aadha bhi uske jitna main raushan nahin hua main jis diye ko bol raha tha kharaab hai

Kushal Dauneria

35 likes

bachi hai raushni jo bhi charaaghon se nikal jaa.e jo mere dil se niklaa hai duaon se nikal jaa.e ham aise log jo dushman ke rone par thehar jaayen vo aisa shaKHs jo apnon ki laashon se nikal jaa.e padaane ka agar matlab hai haathon se nikal jaana khudaaya phir mirii beti bhi haathon se nikal jaa.e vahii ik shaKHs tha meraa yahaañ par jee lagaane ko usii ko chahte the sab ki gaav se nikal jaa.e idhar to choo rahi hai jism meraa thande haathon se udhar vo chahti hai raat baaton se nikal jaa.e numaish baap ki daulat ki kar ke sochta tha main ki shaayad imtihaan-e-ishq paison se nikal jaa.e

Kushal Dauneria

25 likes

tamaam umr bachaata raha KHuda us ko kisi ki lag hi gaii phir bhi bad-dua us ko vo apni zindagi aur doston men hai masroof meri tamaam pareshaaniyon se kya us ko tum us se kehna kisi din tabaah kar dega kam umr ladkiyon ke dil se khelna us ko bichhadte vaqt use dekh kar laga jaise har ek cheez ka pahle se ilm tha us ko hunar-shanaas kisi din qaraar kar denge banaane waale tire fan ki intiha us ko na jaane kaun sa pesha hai jis men lagta hai har ek shaam koi aadmi naya us ko use sataayein mohabbat ke lautte mausam kabhi bhi raas na aa.e america us ko KHuda main bhi tiri is duniya ko mita dooñga hamaare jhagde men kuchh bhi agar hua us ko

Kushal Dauneria

21 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Kushal Dauneria.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Kushal Dauneria's ghazal.