ghazalKuch Alfaaz

abhi tavaqqoa banae rakhna abhi umiden jagae rahna bahut ghana hai andhera shab ka dilon ki shamen jalae rahna khuda hi jaane ki aane vaali ruton men kya ho jahan ki halat abhi ye naghhme na band karna abhi ye mahfil sajae rahna ye dekhna hai ki dam hai kitna ghhanim lashkar ke bazuon men safon ko apni sajae rakhna suron ko apne uthae rahna yahan kahan bastiyon ki raunaq yahan to sannata chikhta hai ujaad sahra ka ye safar hai dilon ki duniya basae rahna abhi hai khatra nafas nafas par abhi hain qatil gali gali men 'shakil' ankhen na band karna 'shakil' khud ko jagae rahna abhi tawaqqoa banae rakhna abhi umiden jagae rahna bahut ghana hai andhera shab ka dilon ki shamen jalae rahna khuda hi jaane ki aane wali ruton mein kya ho jahan ki haalat abhi ye naghme na band karna abhi ye mahfil sajae rahna ye dekhna hai ki dam hai kitna ghanim lashkar ke bazuon mein safon ko apni sajae rakhna suron ko apne uthae rahna yahan kahan bastiyon ki raunaq yahan to sannata chikhta hai ujad sahra ka ye safar hai dilon ki duniya basae rahna abhi hai khatra nafas nafas par abhi hain qatil gali gali mein 'shakil' aankhen na band karna 'shakil' khud ko jagae rahna

Related Ghazal

kiya baadlon men safar zindagi bhar zameen par banaya na ghar zindagi bhar sabhi zindagi ke maze lootte hainna aaya ha men ye hunar zindagi bhar mohabbat rahi chaar din zindagi men raha chaar din ka asar zindagi bhar

Anwar Shaoor

95 likes

zane haseen thii aur phool chun kar laati thii main she'r kahtaa tha vo dastaan sunaati thii arab lahu tha ragon men badan sunhara tha vo muskuraati nahin thii dii.e jalaati thii ali se door raho log usse kahte the vo meraa sach hai bahut cheekh kar bataati thii ali ye log tumhein jaante nahin hain abhii gale lagaakar meraa hausla badhaati thii ye phool dekh rahe ho ye uskaa lahjaa tha ye jheel dekh rahe ho yahaañ vo aati thii main uske baad k abhii theek se nahin jaaga vo mujh...ko khwaab nahin neend se jagati thii use kisi se mohabbat thii aur vo main nahin tha ye baat mujhse zyaada use roolaati thii main kuchh bataa nahin saka vo meri kya thii ali ki us..ko dekhkar bas apni yaad aati thii

Ali Zaryoun

102 likes

uske haathon men jo khanjar hai zyaada tez hai aur phir bachpan se hi uskaa nishaana tez hai jab kabhi us paar jaane ka khyaal aata mujhe koi aahista se kahtaa tha ki dariyaa tez hai aaj milnaa tha bichhad jaane ki niyat se ha men aaj bhi vo der se pahuncha hai kitna tez hai apna sab kuchh haar ke laut aaye ho na mere paas main tumhe kahtaa bhi rehta ki duniya tez hai aaj uske gaal choo men hain to andaaza hua chaai achchhii hai magar thoda sa meetha tez hai

Tehzeeb Hafi

220 likes

safar men dhoop to hogii jo chal sako to chalo sabhi hain bheed men tum bhi nikal sako to chalo kisi ke vaaste raahen kahaan badalti hain tum apne aap ko KHud hi badal sako to chalo yahaañ kisi ko koi raasta nahin deta mujhe giraa ke agar tum sambhal sako to chalo kahii nahin koi suraj dhuaan dhuaan hai fazaa KHud apne aap se baahar nikal sako to chalo yahii hai zindagi kuchh KHvaab chand ummeedein inheen khilauno se tum bhi bahl sako to chalo

Nida Fazli

61 likes

yaanii ki ishq apna mukammal nahin hua gar main tumhaare hijr men paagal nahin hua vo shakhs saalon baad bhi kitna haseen hai vo rang canvas pe kabhi dal nahin hua us god jaisi neend muyassar na ho saki utna to makhmali kabhi makhmal nahin hua do chaar raabton ne hi paagal kiya mujhe achha hua jo rabt musalsal nahin hua is baar mere haal pe khulkar nahin hañsi is baar tere gaal pe dimple nahin hua andha vo kyuuñ hua pata lagne ke baad main ta-umr uski aankh se ojhal nahin hua yuñ kheenchti hai teer vo apne nishaane par har ik shikaar mar gaya ghaayal nahin hua

Kushal Dauneria

34 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Athar Shakeel.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Athar Shakeel's ghazal.