'adu ki samt se ham par jo tiir maara gaya hamare jazba-e-ulfat ko phir ubhara gaya hamare zakhm-e-tamanna khile gulon ki tarah jo tera naam sar-e-bazm yuun pukara gaya vo jis ka saath akela hamen na chhodta tha hamari ziist ka vo khush-numa sahara gaya ghharib shakhs ki ulfat amar hui akhir shah-e-dayar-e-jafa takht se utara gaya kisi ko manzil-e-maqsud khud bulati rahi kisi ko raah ki tarikiyon men maara gaya hamari maang na jaane yahan pe kaun bhare kisi ke samne daman agar pasara gaya kisi ko apna banane ki aarzu kyon ho ki duub apne muqaddar ka jab sitara gaya ye sha'iri to miyan khun-e-dil se phutegi lahu se qalb ke jazbon ko gar sanvara gaya rah-e-hayat se vabastagi to hai us ki 'ma'az' laut hi aaega gar pukara gaya 'adu ki samt se hum par jo tir mara gaya hamare jazba-e-ulfat ko phir ubhaara gaya hamare zakhm-e-tamanna khile gulon ki tarah jo tera nam sar-e-bazm yun pukara gaya wo jis ka sath akela hamein na chhodta tha hamari zist ka wo khush-numa sahaara gaya gharib shakhs ki ulfat amar hui aakhir shah-e-dayar-e-jafa takht se utara gaya kisi ko manzil-e-maqsud khud bulati rahi kisi ko rah ki tarikiyon mein mara gaya hamari mang na jaane yahan pe kaun bhare kisi ke samne daman agar pasara gaya kisi ko apna banane ki aarzu kyon ho ki dub apne muqaddar ka jab sitara gaya ye sha'iri to miyan khun-e-dil se phutegi lahu se qalb ke jazbon ko gar sanwara gaya rah-e-hayat se wabastagi to hai us ki 'ma'az' laut hi aaega gar pukara gaya
Related Ghazal
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
232 likes
kiya baadlon men safar zindagi bhar zameen par banaya na ghar zindagi bhar sabhi zindagi ke maze lootte hainna aaya ha men ye hunar zindagi bhar mohabbat rahi chaar din zindagi men raha chaar din ka asar zindagi bhar
Anwar Shaoor
95 likes
maine jo kuchh bhi socha hua hai main vo vaqt aane pe kar jaaunga tum mujhe zahar lagte ho aur main kisi din tumhein pee ke mar jaaunga tu to beenaai hai meri tere alaava mujhe kuchh bhi dikhta nahin maine tujhko agar tere ghar pe utaara to main kaise ghar jaaunga chahta hooñ tumhein aur bahut chahta hooñ tumhein KHud bhi maaloom hai haan agar mujhse poocha kisi ne to main seedha munh par mukar jaaunga tere dil se tere shahar se tere ghar se teri aankh se tere dar se teri galiyon se tere watan se nikala hua hooñ kidhar jaaunga
Tehzeeb Hafi
241 likes
aankh ko aaina samjhte ho tum bhi sabki tarah samjhte ho dost ab kyuuñ nahin samjhte tum tum to kahte the na samjhte ho apna gham tumko kaise samjhaaoon sabse haara hua samjhte ho meri duniya ujad gayi is men tum ise haadsa samjhte ho aakhiri raasta to baaki hai aakhiri raasta samjhte ho
Himanshi babra KATIB
76 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Maaz Muaviya.
Similar Moods
More moods that pair well with Maaz Muaviya's ghazal.







