ghazalKuch Alfaaz

ahl-e-dil jo bhi baat kahte hain koi raz-e-hayat kahte hain un ke ghham se hai javedan varna ziist ko be-sabat kahte hain haae vo daur-e-ishq jab aansu dastan-e-hayat kahte hain khvab-e-ghhaflat men jo guzarta hai ham to us din ko raat kahte hain ishq ki istilah men ghham ko inqalab-e-hayat kahte hain jo bhi hain vaqif-e-haqiqat-e-dil dil ko hi kaenat kahte hain lafz-o-maani men aa nahin sakti vo nazar se jo baat kahte hain mard-e-haq men to ma-siva ko bhi partav-e-husn-e-zat kahte hain muddaton ghhaur karna padta hai un se jab dil ki baat kahte hain kar-gah-e-nuqush-e-ibrat ko 'kaif' sab kaenat kahte hain ahl-e-dil jo bhi baat kahte hain koi raaz-e-hayat kahte hain un ke gham se hai jawedan warna zist ko be-sabaat kahte hain hae wo daur-e-ishq jab aansu dastan-e-hayat kahte hain khwab-e-ghaflat mein jo guzarta hai hum to us din ko raat kahte hain ishq ki istilah mein gham ko inqalab-e-hayat kahte hain jo bhi hain waqif-e-haqiqat-e-dil dil ko hi kaenat kahte hain lafz-o-mani mein aa nahin sakti wo nazar se jo baat kahte hain mard-e-haq mein to ma-siwa ko bhi partaw-e-husn-e-zat kahte hain muddaton ghaur karna padta hai un se jab dil ki baat kahte hain kar-gah-e-nuqush-e-ibrat ko 'kaif' sab kaenat kahte hain

Related Ghazal

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle

Anand Raj Singh

526 likes

usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge

Tehzeeb Hafi

465 likes

haath khaali hain tire shahar se jaate jaate jaan hoti to mirii jaan lutate jaate ab to har haath ka patthar ha men pahchaanta hai umr guzri hai tire shahar men aate jaate ab ke mayus hua yaaron ko ruksat kar ke ja rahe the to koi zakham lagaate jaate renagne ki bhi ijaazat nahin ham ko warna ham jidhar jaate naye phool khilaate jaate main to jalte hue seharaaon ka ik patthar tha tum to dariyaa the mirii pyaas bujhaate jaate mujh ko rone ka saleeqa bhi nahin hai shaayad log hanste hain mujhe dekh ke aate jaate ham se pahle bhi musaafir kaii guzre honge kam se kam raah ke patthar to hataate jaate

Rahat Indori

102 likes

chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf

Varun Anand

406 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Kaif Moradaabadi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Kaif Moradaabadi's ghazal.