ghazalKuch Alfaaz

ai chand nazar aa ki miri eid nazar ho ai subh-e-munin aa ki shab-e-ghham ki sahar ho ye kyon ki har ik kar-e-numayan ki mujhe daad ye kya ki miri bhuul kisi aur ke sar ho khush-rang hain murghhan-e-chaman laal hai laala khadsha hai na un men bhi mira khun-e-jigar ho teri hi banai hui duniya men muqayyad teri hi raza ho to ye qatra bhi guhar ho har phuul pe qadghhan ki tiri shakl pe nikle har zakhm pe lazim ki tira dast-e-nigar ho ai chand nazar aa ki meri eid nazar ho ai subh-e-munin aa ki shab-e-gham ki sahar ho ye kyon ki har ek kar-e-numayan ki mujhe dad ye kya ki meri bhul kisi aur ke sar ho khush-rang hain murghan-e-chaman lal hai lala khadsha hai na un mein bhi mera khun-e-jigar ho teri hi banai hui duniya mein muqayyad teri hi raza ho to ye qatra bhi guhar ho har phul pe qadghan ki teri shakl pe nikle har zakhm pe lazim ki tera dast-e-nigar ho

Related Ghazal

teri mushkil na badaaunga chala jaaunga ashk aankhoñ men chhupaaunga chala jaaunga apni dahleez pe kuchh der pada rahne de jaise hi hosh men aaunga chala jaaunga KHvaab lene koi aa.e ki na aa.e koi main to awaaz lagaauñga chala jaaunga chand yaaden mujhe bacchon ki tarah pyaari hain unko seene se lagaauñga chala jaaunga muddaton baad main aaya hooñ purane ghar men KHud ko jee bhar ke rulaaunga chala jaaunga is jazeera men ziyaada nahin rahna ab to aajkal naav banaoonga chala jaaunga mausam-e-gul ki tarah laut ke aaunga hasan har taraf phool khilaaoonga chala jaaunga

Hasan Abbasi

235 likes

zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de

Rahat Indori

190 likes

bade tahammul se rafta rafta nikaalna hai bacha hai jo tujh men meraa hissa nikaalna hai ye rooh barson se dafn hai tum madad karoge badan ke malbe se is ko zinda nikaalna hai nazar men rakhna kahii koi gham-shanaas gaahak mujhe sukhun bechna hai kharcha nikaalna hai nikaal laaya hooñ ek pinjare se ik parinda ab is parinde ke dil se pinjra nikaalna hai ye tees barson se kuchh baras peeche chal rahi hai mujhe ghadi ka KHaraab purza nikaalna hai khayal hai khaandaan ko ittilaa' de doon jo kat gaya us shajar ka shajra nikaalna hai main ek kirdaar se badaa tang hooñ qalamkaar mujhe kahaanii men daal ghussa nikaalna hai

Umair Najmi

42 likes

jhuki jhuki si nazar be-qaraar hai ki nahin daba daba sa sahi dil men pyaar hai ki nahin tu apne dil ki jawaan dhadkano ko gin ke bataa mirii tarah tira dil be-qaraar hai ki nahin vo pal ki jis men mohabbat jawaan hoti haius ek pal ka tujhe intizaar hai ki nahin tiri umeed pe thukra raha hooñ duniya ko tujhe bhi apne pe ye e'tibaar hai ki nahin

Kaifi Azmi

33 likes

aankhoñ ke saath use mira hansna nahin pasand dariyaa ho ya ho ghaav use gahra nahin pasand taarikh aa chuki hai udhar card chap ga.e ab kab kahegi tujh ko vo ladka nahin pasand tum ko to mujh se guftugoo karna pasand tha ab kyuuñ mirii mazaar pe rukna nahin pasand kapdon se itr tak ya kitaabon se haar tak vo bole to sahi ki use kya nahin pasand ik din pada mila tha mujhe raaston pe aur ik din suna use mira choona nahin pasand

Kushal Dauneria

29 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Mohammad Javed Anwar.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Mohammad Javed Anwar's ghazal.