ghazalKuch Alfaaz

aise chhute hain tasavvur men tujhe ham chup-chap jaise phulon ko chhua karti hai shabnam chup-chap tark-e-ulfat pe bhi kar jaate hain aksar gumrah mere khvabon ko tire gesu-e-pur-kham chup-chap jaise karti hi nahin tang hamen ye maasum kaise jaati hai shab-e-hijr sahar-dam chup-chap koi milta hi nahin us ko sukhan ka mauzua baithi rahti hai mere paas shab-e-ghham chup-chap shorish-e-vaqt ne bakhshi nahin ja-e-afsos yaani karna hi pada ziist ka matam chup-chap mauj-e-hangam-e-charaghhan hai na vo rang-e-abir shokhi-e-id bhi khamosh moharram chup-chap meri ankhen hain tire husn ki goya tasvir main ne dekha hai tire husn ka aalam chup-chap daur-e-iblis ke ye bada-gusaran 'majaz' piite rahte hain jahannam ka jahannam chup-chap aise chhute hain tasawwur mein tujhe hum chup-chap jaise phulon ko chhua karti hai shabnam chup-chap tark-e-ulfat pe bhi kar jate hain aksar gumrah mere khwabon ko tere gesu-e-pur-kham chup-chap jaise karti hi nahin tang hamein ye masum kaise jati hai shab-e-hijr sahar-dam chup-chap koi milta hi nahin us ko sukhan ka mauzua baithi rahti hai mere pas shab-e-gham chup-chap shorish-e-waqt ne bakhshi nahin ja-e-afsos yani karna hi pada zist ka matam chup-chap mauj-e-hangam-e-charaghan hai na wo rang-e-abir shokhi-e-id bhi khamosh moharram chup-chap meri aankhen hain tere husn ki goya taswir main ne dekha hai tere husn ka aalam chup-chap daur-e-iblis ke ye baada-gusaran 'majaz' pite rahte hain jahannam ka jahannam chup-chap

Related Ghazal

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai

Shabeena Adeeb

232 likes

kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla

Tehzeeb Hafi

435 likes

ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen

Ahmad Faraz

130 likes

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Majaz Jaipuri.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Majaz Jaipuri's ghazal.