ghazalKuch Alfaaz

'ajab ik parda haael hai jo sarkaya nahin jaata bahut sidhi si baton ko bhi samjhaya nahin jaata kabhi ye naaz tha khud par ki mir-e-karvan ham hain lute phir qafile aise ki itraya nahin jaata bahut va'de hue ham se mudava lazmi hoga magar hai vaqt aisa qarz lautaya nahin jaata baharen jab nahin apni to phir kya aarzu rakhna ye gulshan mange ki khushbu se mahkaya nahin jaata na-jane kyuun sabhi rishte hue jaate hain ab laghhar ki duuri do qadam ki ho magar aaya nahin jaata kisi se mashvara kaisa kisi se puchhna kya ab mohabbat hai hunar aisa jo batlaya nahin jaata mire sayyad se keh do nahin ab lautna mumkin samundar men gire qatre ko phir paaya nahin jaata ab aage dhundte ho kya mujhe tum is kahani men main huun kirdar jo anjam tak laaya nahin jaata kahenge kya mujhe apne kahega ye zamana kya ho 'abrak' sach agar likhna to ghabraya nahin jaata 'ajab ek parda hael hai jo sarkaya nahin jata bahut sidhi si baaton ko bhi samjhaya nahin jata kabhi ye naz tha khud par ki mir-e-karwan hum hain lute phir qafile aise ki itraya nahin jata bahut wa'de hue hum se mudawa lazmi hoga magar hai waqt aisa qarz lautaya nahin jata bahaaren jab nahin apni to phir kya aarzu rakhna ye gulshan mange ki khushbu se mahkaya nahin jata na-jaane kyun sabhi rishte hue jate hain ab laghar ki duri do qadam ki ho magar aaya nahin jata kisi se mashwara kaisa kisi se puchhna kya ab mohabbat hai hunar aisa jo batlaya nahin jata mere sayyaad se keh do nahin ab lautna mumkin samundar mein gire qatre ko phir paya nahin jata ab aage dhundte ho kya mujhe tum is kahani mein main hun kirdar jo anjam tak laya nahin jata kahenge kya mujhe apne kahega ye zamana kya ho 'abrak' sach agar likhna to ghabraya nahin jata

Related Ghazal

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai

Shabeena Adeeb

232 likes

paagal kaise ho jaate hain dekho aise ho jaate hain KHvaabon ka dhanda karti ho kitne paise ho jaate hain duniya sa hona mushkil hai tere jaise ho jaate hain mere kaam KHuda karta hai tere vaise ho jaate hain

Ali Zaryoun

158 likes

kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla

Tehzeeb Hafi

435 likes

chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon

Ali Zaryoun

105 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Atbaf Abrak.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Atbaf Abrak's ghazal.