ghazalKuch Alfaaz

alfaz ki tasvir bahut rang bhari hai mafhum ke paikar men 'ajab jalva-gari hai ankhen jo khuli hain to mila dars-e-haqiqi nai khvab ki duniya hai na vo be-khabari hai bech aae hain kirdar bhi daulat ke 'evaz men is shahr men alfaz ki kya sauda-gari hai ik 'umr hui aaj bhi guldasta-e-dil ke sukhe hue patton ki koi shakh hari hai kaafi hai junun hakim-e-dauran ke muqabil kaghhaz hai qalam hai miri ashufta-sari hai raushan bhi nazar aae to suraj ki chamak se vo chand ki basti jo sitaron se bhari hai tuuta hua dalan hai dar hai na dariche mashhur magar aaj bhi vo bara-dari hai ghar 'alam-e-arvah hai duniya ho ki jannat 'razi' badi dil-chasp tiri dar-badari hai alfaz ki taswir bahut rang bhari hai mafhum ke paikar mein 'ajab jalwa-gari hai aankhen jo khuli hain to mila dars-e-haqiqi nai khwab ki duniya hai na wo be-khabari hai bech aae hain kirdar bhi daulat ke 'ewaz mein is shahr mein alfaz ki kya sauda-gari hai ek 'umr hui aaj bhi guldasta-e-dil ke sukhe hue patton ki koi shakh hari hai kafi hai junun hakim-e-dauran ke muqabil kaghaz hai qalam hai meri aashufta-sari hai raushan bhi nazar aae to suraj ki chamak se wo chand ki basti jo sitaron se bhari hai tuta hua dalan hai dar hai na dariche mashhur magar aaj bhi wo bara-dari hai ghar 'alam-e-arwah hai duniya ho ki jannat 'raazi' badi dil-chasp teri dar-badari hai

Related Ghazal

yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle

Anand Raj Singh

526 likes

chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf

Varun Anand

406 likes

ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikaayat hai nahin to hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko bhula dene ki niyat hai nahin to kisi ke bin kisi ki yaad ke bin ji.e jaane ki himmat hai nahin to kisi soorat bhi dil lagta nahin haan to kuchh din se ye haalaat hai nahin to tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha vo ek jaati si vehshat hai nahin to tere is haal par hai sab ko hairat tujhe bhi is pe hairat hai nahin to ham-aahangi nahin duniya se teri tujhe is par nadaamat hai nahin to vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu yah daulat us ki qeemat hai nahin to hua jo kuchh yahii maqsoom tha kya yahii saari hikaayat hai nahin to aziyat-naak ummeedon se tujhko aman paane ki hasrat hai nahin to tu rehta hai khayaal-o-khvaab men gam to is wajah se fursat hai nahin to wahaan waalon se hai itni mohabbat yahaan waalon se nafrat hai nahin to sabab jo is judaai ka banaa hai vo mujhse khubsoorat hai nahin to

Jaun Elia

355 likes

usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge

Tehzeeb Hafi

465 likes

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Razi Abuzar.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Razi Abuzar's ghazal.