ghazalKuch Alfaaz

apne hathon ki lakiron men saja le mujh ko main huun tera tu nasib apna bana le mujh ko in the fate lines of your hand please do let me be make me yours my love because i am your destiny main jo kanta huun to chal mujh se bacha kar daman main huun gar phuul to juude men saja le mujh ko save your cloak from me if i am thought to be a thorn and if a flower deemed to be then in your hair adorn tark-e-ulfat ki qasam bhi koi hoti hai qasam tu kabhi yaad to kar bhulne vaale mujh ko the vow to sever someone's love is no vow at all you who have forgotten me someday should recall mujh se tu puchhne aaya hai vafa ke maani ye tiri sada-dili maar na daale mujh ko you come to me asking the meaning of fidelity your innocence may truly well, be the end of me main samundar bhi huun moti bhi huun ghhota-zan bhi koi bhi naam mira le ke bula le mujh ko i am the diver, i'm the pearl, i also am the sea by any of these names, you may call out to me tu ne dekha nahin aine se aage kuchh bhi khud-parasti men kahin tu na ganva le mujh ko beside a mirror nothing else have you ever espied in self admiration you may lose me by your side bandh kar sang-e-vafa kar diya tu ne ghharqab kaun aisa hai jo ab dhundh nikale mujh ko ---- ---- khud ko main baant na dalun kahin daman daman kar diya tu ne agar mere havale mujh ko tomorrow is another day, same i might not remain however much you wish today you may cause me pain main khule dar ke kisi ghar ka huun saman pyare tu dabe-panv kabhi aa ke chura le mujh ko what of wine i will, drink poison happily if someones there to take in their arms and tend to me kal ki baat aur hai main ab sa rahun ya na rahun jitna ji chahe tira aaj sata le mujh ko in a house with open doors, like valuables i stay come someday with padded feet and steal me away baada phir baada hai main zahr bhi pi jaun 'qatil' shart ye hai koi banhon men sambhale mujh ko tomorrow is another day, same i might not remain however much you wish today you may cause me pain what of wine i will, drink poison happily if someones there to take in their arms and tend to me apne hathon ki lakiron mein saja le mujh ko main hun tera tu nasib apna bana le mujh ko in the fate lines of your hand please do let me be make me yours my love because i am your destiny main jo kanta hun to chal mujh se bacha kar daman main hun gar phul to jude mein saja le mujh ko save your cloak from me if i am thought to be a thorn and if a flower deemed to be then in your hair adorn tark-e-ulfat ki qasam bhi koi hoti hai qasam tu kabhi yaad to kar bhulne wale mujh ko the vow to sever someone's love is no vow at all you who have forgotten me someday should recall mujh se tu puchhne aaya hai wafa ke mani ye teri sada-dili mar na dale mujh ko you come to me asking the meaning of fidelity your innocence may truly well, be the end of me main samundar bhi hun moti bhi hun ghota-zan bhi koi bhi nam mera le ke bula le mujh ko i am the diver, i'm the pearl, i also am the sea by any of these names, you may call out to me tu ne dekha nahin aaine se aage kuchh bhi khud-parasti mein kahin tu na ganwa le mujh ko beside a mirror nothing else have you ever espied in self admiration you may lose me by your side bandh kar sang-e-wafa kar diya tu ne gharqab kaun aisa hai jo ab dhundh nikale mujh ko ---- ---- khud ko main bant na dalun kahin daman daman kar diya tu ne agar mere hawale mujh ko tomorrow is another day, same i might not remain however much you wish today you may cause me pain main khule dar ke kisi ghar ka hun saman pyare tu dabe-panw kabhi aa ke chura le mujh ko what of wine i will, drink poison happily if someones there to take in their arms and tend to me kal ki baat aur hai main ab sa rahun ya na rahun jitna ji chahe tera aaj sata le mujh ko in a house with open doors, like valuables i stay come someday with padded feet and steal me away baada phir baada hai main zahr bhi pi jaun 'qatil' shart ye hai koi banhon mein sambhaale mujh ko tomorrow is another day, same i might not remain however much you wish today you may cause me pain what of wine i will, drink poison happily if someones there to take in their arms and tend to me

Related Ghazal

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de

Rahat Indori

190 likes

baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

Rehman Faris

196 likes

thoda likkha aur ziyaada chhod diya aane waalon ke li.e rastaa chhod diya tum kya jaano us dariyaa par kya guzri tumne to bas paani bharna chhod diya ladkiyaan ishq men kitnii paagal hoti hain phone baja aur choolha jalta chhod diya roz ik patta mujh men aa girta hai jab se maine jungle jaana chhod diya bas kaanon par haath rakhe the thodii der aur phir us aawaaz ne peecha chhod diye

Tehzeeb Hafi

262 likes

teraa chup rahna mere zehan men kya baith gaya itni aawaazen tujhe deen ki gala baith gaya yuñ nahin hai ki faqat main hi use chahta hooñ jo bhi us ped ki chaanv men gaya baith gaya itnaa meetha tha vo ghusse bhara lahjaa mat poochus ne jis ko bhi jaane ka kaha baith gaya apna ladna bhi mohabbat hai tumhein ilm nahin cheeKHtii tum rahi aur meraa gala baith gaya us ki marzi vo jise paas bitha le apne is pe kya ladna fulan meri jagah baith gaya baat daryaon ki suraj ki na teri hai yahaañ do qadam jo bhi mere saath chala baith gaya bazm-e-jaanan men nashisten nahin hoti makhsoos jo bhi ik baar jahaan baith gaya baith gaya

Tehzeeb Hafi

203 likes

More from Qateel Shifai

apne honton par saj aanaa chahta hooñ aa tujhe main gungun aanaa chahta hooñ koi aañsu tere daaman par giraa kar boond ko moti ban aanaa chahta hooñ thak gaya main karte karte yaad tujh ko ab tujhe main yaad aanaa chahta hooñ chha raha hai saari bastii men andhera raushni ko ghar jalana chahta hooñ aakhri hichki tire zaanoo pe aa.e maut bhi main shaairana chahta hooñ

Qateel Shifai

6 likes

khula hai jhooth ka bazaar aao sach boleinna ho bala se khareedaar aao sach bolein sukoot chaaya hai insaaniyat ki qadron par yahii hai mauqa-e-izhaar aao sach bolein ha men gawaah banaya hai vaqt ne apna b-naam-e-azmat-e-kirdaar aao sach bolein suna hai vaqt ka haakim badaa hi munsif hai pukaar kar sar-e-darbaar aao sach bolein tamaam shahar men kya ek bhi nahin mansoor kaheinge kya rasn-o-daar aao sach bolein baja ki khoo-e-wafa ek bhi haseen men nahin kahaan ke ham bhi wafadar aao sach bolein jo wasf ham men nahin kyun karen kisi men talash agar zameer hai bedaar aao sach bolein chhu paa.e se kahii chhupte hain daagh chehre ke nazar hai aaina-bardaar aao sach bolein qatil jin pe sadaa pattharon ko pyaar aaya kidhar ga.e vo gunahgaar aao sach bolein

Qateel Shifai

0 likes

titliyon ka rang ho ya jhoomte baadal ka rang ham ne har ik rang ko jaana tire aanchal ka rang teri aankhoñ ki chamak hai ya sitaaron ki ziya raat ka hai ghup andhera ya tire kaajal ka rang dhadkano ke taal par vo haal apne dil ka hai jaise gori ke thirakte paanv men paayal ka rang fenkna tum soch kar lafzon ka ye karwa gulaal phail jaata hai kabhi sadiyon pe bhi ik pal ka rang aah ye rangeen mausam KHoon ki barsaat ka chha raha hai aql par jazbaat ki halchal ka rang ab to shabnam ka har ik moti hai kankar ki tarah haan usii gulshan pe chaaya tha kabhi makhmal ka rang phir rahe hain log haathon men li.e khanjar khule kooche kooche men ab aata hai nazar maqtal ka rang chaar jaanib jis ki raa'naai ke charche hain qatil jaane kab dekhenge ham us aane waali kal ka rang

Qateel Shifai

1 likes

raabta laakh sahi qaafila-salaar ke saath ham ko chalna hai magar vaqt ki raftaar ke saath gham lage rahte hain har aan khushi ke peeche dushmani dhoop ki hai saaya-e-deewar ke saath kis tarah apni mohabbat ki main takmeel karoon gham-e-hasti bhi to shaamil hai gham-e-yaar ke saath lafz chunta hooñ to mafhoom badal jaata hai ik na ik khauf bhi hai jurat-e-izhaar ke saath dushmani mujh se ki.e ja magar apna ban kar jaan le le mirii sayyaad magar pyaar ke saath do ghadi aao mil aayen kisi ghalib se qatil hazrat zauq to waabasta hain darbaar ke saath

Qateel Shifai

2 likes

apne haathon ki lakeeron men saja le mujh ko main hoon teraa tu naseeb apna banaa le mujh ko main jo kaanta hoon to chal mujh se bacha kar daaman main hoongar phool to jude men saja le mujh ko tark-e-ulft ki qasam bhi koi hoti hai qasam tu kabhi yaad to kar bhoolne waale mujh ko mujh se tu poochne aaya hai vafaa ke maani ye tiri saada-dili maar na dale mujh ko main samundar bhi hoon moti bhi hoon ghota-zan bhi koi bhi naam mira le ke bula le mujh ko tu ne dekha nahin aaiine se aage kuchh bhi khud-parasti men kahii tu na ganwa le mujh ko baandh kar sang-e-wafa kar diya tu ne gharqaab kaun aisa hai jo ab dhoondh nikale mujh ko KHud ko main baant na daaloon kahii daaman daaman kar diya tu ne agar mere hawaale mujh ko main khule dar ke kisi ghar ka hoon saamaan pyaare tu dabe-paav kabhi aa ke chura le mujh ko kal ki baat aur hai main ab sa rahoon ya na rahoon jitna jee chahe tira aaj sata le mujh ko vaa'da phir vaa'da hai main zahar bhi pee jaaun qatil shart ye hai koi baanhon men sambhaale mujh ko

Qateel Shifai

6 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Qateel Shifai.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Qateel Shifai's ghazal.