apne yaaron se bahut door nahin hota tha yaar tu un dinon mashhoor nahin hota tha mujh...ko lagta hai tujhe dil ki dua lag gaii hai tere chehre par to ye noor nahin hota tha koi to dukh hai jo waapas nahin deta varna main ghar se kabhi door nahin hota tha
Related Ghazal
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
ye maine kab kaha ki mere haq men faisla kare agar vo mujh se KHush nahin hai to mujhe juda kare main uske saath jis tarah guzaarta hooñ zindagi use to chahiye ki meraa shukriya ada kare meri dua hai aur ik tarah se baddua bhi hai KHuda tumhein tumhaare jaisi betiyaan ata kare banaa chuka hooñ main mohabbaton ke dard ki davaa agar kisi ko chahiye to mujhse raabta kare
Tehzeeb Hafi
292 likes
usoolon pe jahaan aanch aa.e takr aanaa zaroori hai jo zinda hon to phir zinda nazar aanaa zaroori hai nayi umron ki khudmukhtaariyon ko kaun samjh aa.e kahaan se bach ke chalna hai kahaan j aanaa zaroori hai thake haare parinde jab basere ke liye lautain saleeqamand shaakhon ka lachak j aanaa zaroori hai bahut bebaak aankhoñ men talluq tik nahin paata muhabbat men kashish rakhne ko sharm aanaa zaroori hai saleeqa hi nahin shaayad use mehsoos karne ka jo kahtaa hai KHuda hai to nazar aanaa zaroori hai mere honthon pe apni pyaas rakh do aur phir socho ki iske baad bhi duniya men kuchh p aanaa zaroori hai
Waseem Barelvi
107 likes
vo munh lagata hai jab koi kaam hota hai jo uskaa hota hai samjho ghulaam hota hai kisi ka ho ke dobaara na aanaa meri taraf mohabbaton men halaala haraam hota hai ise bhi ginte hain ham log ahl-e-kh aanaa men hamaare yaa to shajar ka bhi naam hota hai tujh aise shaKHs ke hote hain khaas dost bahut tujh aisa shaKHs bahut jald aam hota hai kabhi lagii hai tumhein koi shaam aakhiri shaam hamaare saath ye har ek shaam hota hai
Umair Najmi
81 likes
maine jo kuchh bhi socha hua hai main vo vaqt aane pe kar jaaunga tum mujhe zahar lagte ho aur main kisi din tumhein pee ke mar jaaunga tu to beenaai hai meri tere alaava mujhe kuchh bhi dikhta nahin maine tujhko agar tere ghar pe utaara to main kaise ghar jaaunga chahta hooñ tumhein aur bahut chahta hooñ tumhein KHud bhi maaloom hai haan agar mujhse poocha kisi ne to main seedha munh par mukar jaaunga tere dil se tere shahar se tere ghar se teri aankh se tere dar se teri galiyon se tere watan se nikala hua hooñ kidhar jaaunga
Tehzeeb Hafi
241 likes
More from Ali Zaryoun
haalat e hijr men hooñ yaar meri samt na dekh tu na ho jaa.e girftaar meri samt na dekh aasteen men jo chhupe saanp hain unko to nikaal apne nuksaan par har baar meri samt na dekh tujhko jis baat ka khadsha hai vo ho sakti hai aise nashshe men lagaataar meri samt na dekh ya koi baat suna ya mujhe seene se laga is tarah baithkar bekar meri samt na dekh teraa yaaron se nahin jeb se yaaraana hai ai mohabbat ke dukandaar meri samt na dekh
Ali Zaryoun
7 likes
KHvaab ka KHvaab haqeeqat ki haqeeqat samjhen ye samajhna hai to phir pahle tareeqat samjhen main jawaaban bhi jinhen gaali nahin deta vo log meri jaanib se ise khaas mohabbat samjhen main to mar kar bhi na bechoonga kabhi yaar ka naam aap taajir hain numaish ko ibadat samjhen main kisi beech ke raaste se nahin pahuncha yahaañ haasido se ye guzarish hai riyaazat samjhen meraa be-saakhta-pan un ke li.e khatra hai saakhta log mujhe kyun na museebat samjhen facebook vaqt agar de to ye pyaare bacche apne KHaamosh buzurgon ki shikaayat samjhen pesh karta hooñ main KHud apni giriftaari ali un se kehna ki mujhe zer-e-hiraasat samjhen
Ali Zaryoun
14 likes
charaagahein nai aabaad hogii magar jo bastiyaan barbaad hogii KHuda miTTi ko phir se hukm dega kaii shaklein nai ijaad hogii abhii mumkin nahin lekin ye hogaa kitaaben sahib-e-aulaad hogii main un aankhoñ ko padhkar sochta hoon ye naz men kis tarah se yaad hogii ye pariyaan phir nahin aayegi milne ye ghazlein phir nahin irshaad hogii main dartaa hoon ali un aadaton se ke jo mujh...ko tumhaare baad hogii
Ali Zaryoun
21 likes
gul-e-shabaab mahakta hai aur bulaata hai meri ghazal koi pashto men gungunata hai ajeeb taur hai uske mijaaz-e-shaahi ka lade kisi se bhi aañkhen mujhe dikhaata hai tum uskaa haath jhatak kar ye kyuuñ nahin kahtiin tu jaanwar hai jo aurat pe haath uthaata hai
Ali Zaryoun
11 likes
pahle-pahl ladenge tamaskhur udaayenge jab ishq dekh lenge to sar par bithaayenge tu to phir apni jaan hai teraa to zikr kya ham tere doston ke bhi nakhre uthaaenge ghalib ne ishq ko jo dimaagi khalal kaha chhodein ye ramz aap nahin jaan paayenge parkhenge ek ek ko le kar tumhaara naam dushman hai kaun dost hai pahchaan jaayenge qibla kabhi to taaza-sukhan bhi karen ata ye chaar-paanch ghazlein hi kab tak sunaayenge aage to aane deejie rastaa to chhodije ham kaun hain ye saamne aa kar bataaenge ye ehtimaam aur kisi ke li.e nahin taane tumhaare naam ke ham par hi aayenge
Ali Zaryoun
18 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Ali Zaryoun.
Similar Moods
More moods that pair well with Ali Zaryoun's ghazal.







