ghazalKuch Alfaaz

jaan ka azar hai bimari-e-duniya nahin zaat tak mahdud ho jaaen to kuchh khatra nahin ab hifazat jitni hai mahbus ho jaane men hai khud ke bahar ghumne phirne ka ab mauqa nahin us se milna absharon se guzarna tha magar khauf ka vo kaun sa tufan tha jo aaya nahin ab ke bichhde kab milenge ab ki baar ik ye saval ham ne bhi puchha nahin us ne bhi batlaya nahin mo'atabar kitna bhi ho har vasta mashkuk hai jo tasavvur men likha vo khat bhi pahunchaya nahin mujh men ik bachcha jo muzmar hai bahut masrur hai in dinon duniya se us ka mutlaqan rishta nahin masala koi bhi ho 'arshad' muhit-e-ishq hai jo ghhazal ka rah-rau ho raah se hatta nahin jaan ka aazar hai bimari-e-duniya nahin zat tak mahdud ho jaen to kuchh khatra nahin ab hifazat jitni hai mahbus ho jaane mein hai khud ke bahar ghumne phirne ka ab mauqa nahin us se milna aabshaaron se guzarna tha magar khauf ka wo kaun sa tufan tha jo aaya nahin ab ke bichhde kab milenge ab ki bar ek ye sawal hum ne bhi puchha nahin us ne bhi batlaya nahin mo'atabar kitna bhi ho har wasta mashkuk hai jo tasawwur mein likha wo khat bhi pahunchaya nahin mujh mein ek bachcha jo muzmar hai bahut masrur hai in dinon duniya se us ka mutlaqan rishta nahin masala koi bhi ho 'arshad' muhit-e-ishq hai jo ghazal ka rah-rau ho rah se hatta nahin

Related Ghazal

KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai

Shabeena Adeeb

232 likes

kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla

Tehzeeb Hafi

435 likes

ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen

Ahmad Faraz

130 likes

usoolon pe jahaan aanch aa.e takr aanaa zaroori hai jo zinda hon to phir zinda nazar aanaa zaroori hai nayi umron ki khudmukhtaariyon ko kaun samjh aa.e kahaan se bach ke chalna hai kahaan j aanaa zaroori hai thake haare parinde jab basere ke liye lautain saleeqamand shaakhon ka lachak j aanaa zaroori hai bahut bebaak aankhoñ men talluq tik nahin paata muhabbat men kashish rakhne ko sharm aanaa zaroori hai saleeqa hi nahin shaayad use mehsoos karne ka jo kahtaa hai KHuda hai to nazar aanaa zaroori hai mere honthon pe apni pyaas rakh do aur phir socho ki iske baad bhi duniya men kuchh p aanaa zaroori hai

Waseem Barelvi

107 likes

ye maine kab kaha ki mere haq men faisla kare agar vo mujh se KHush nahin hai to mujhe juda kare main uske saath jis tarah guzaarta hooñ zindagi use to chahiye ki meraa shukriya ada kare meri dua hai aur ik tarah se baddua bhi hai KHuda tumhein tumhaare jaisi betiyaan ata kare banaa chuka hooñ main mohabbaton ke dard ki davaa agar kisi ko chahiye to mujhse raabta kare

Tehzeeb Hafi

292 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Arshad Abdul Hamid.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Arshad Abdul Hamid's ghazal.