ghazalKuch Alfaaz

'arz jo kuchh meri zabani hai ap-biti nahin kahani hai jis ne munh madrase ka dekh liya zindagi men vo an-jahani hai raah maktab ki bhulne ke liye khaak ik ik gali ki chhani hai padhne likhne men ji nahin lagta maar khane ki ye nishani hai khaak padhiye jo ho ghhiza aisi bhaat kankar hai daal paani hai jaur-e-ustad hai na mahr-e-pidar kis qayamat ki ye girani hai har juma god-friday hai mira raat bhi us ki kya suhani hai paar huun imtihan ke dariya se naav kaghhaz ki yuun chalani hai phir bhala ham kahan kahan masjid ye namaz apni imtihani hai ye ghhazal khuub hai 'jalal' miyan kya salasat hai kya ravani hai lakhnavi ye jalal garche nahin kakvi ye jalal-e-sani hai 'arz jo kuchh meri zabani hai aap-biti nahin kahani hai jis ne munh madrase ka dekh liya zindagi mein wo aan-jahani hai rah maktab ki bhulne ke liye khak ek ek gali ki chhani hai padhne likhne mein ji nahin lagta mar khane ki ye nishani hai khak padhiye jo ho ghiza aisi bhat kankar hai dal pani hai jaur-e-ustad hai na mahr-e-pidar kis qayamat ki ye girani hai har juma good-friday hai mera raat bhi us ki kya suhani hai par hun imtihan ke dariya se naw kaghaz ki yun chalani hai phir bhala hum kahan kahan masjid ye namaz apni imtihani hai ye ghazal khub hai 'jalal' miyan kya salasat hai kya rawani hai lakhnawi ye jalal garche nahin kakwi ye jalal-e-sani hai

Related Ghazal

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai

Shabeena Adeeb

232 likes

kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla

Tehzeeb Hafi

435 likes

kya ghalatfahmi men rah jaane ka sadma kuchh nahin vo mujhe samjha to saka tha ki aisa kuchh nahin ishq se bach kar bhi banda kuchh nahin hota magar ye bhi sach hai ishq men bande ka bachta kuchh nahin jaane kaise raaz seene men li.e baitha hai vo zahr kha leta hai par munh se ugalta kuchh nahin shukr hai ki usne mujhse kah diya ki kuchh to hai main usse kehne hi vaala tha ki achha kuchh nahin

Tehzeeb Hafi

105 likes

ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen

Ahmad Faraz

130 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Jalal Kakvi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Jalal Kakvi's ghazal.