ghazalKuch Alfaaz

ashk aankh men phir atak raha hai kankar sa koi khatk raha hai main us ke khayal se gurezaan vo meri sadaa jhatak raha hai tahreer usii ki hai magar dil khat padhte hue atak raha hai hain phone pe kis ke saath baatein aur zehan kahaan bhatk raha hai sadiyon se safar men hai samundar saahil pe thakan tapak raha hai ik chaand saleeb-e-shaakh-e-gul par baali ki tarah latk raha hai

Related Ghazal

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de

Rahat Indori

190 likes

baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

Rehman Faris

196 likes

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

zane haseen thii aur phool chun kar laati thii main she'r kahtaa tha vo dastaan sunaati thii arab lahu tha ragon men badan sunhara tha vo muskuraati nahin thii dii.e jalaati thii ali se door raho log usse kahte the vo meraa sach hai bahut cheekh kar bataati thii ali ye log tumhein jaante nahin hain abhii gale lagaakar meraa hausla badhaati thii ye phool dekh rahe ho ye uskaa lahjaa tha ye jheel dekh rahe ho yahaañ vo aati thii main uske baad k abhii theek se nahin jaaga vo mujh...ko khwaab nahin neend se jagati thii use kisi se mohabbat thii aur vo main nahin tha ye baat mujhse zyaada use roolaati thii main kuchh bataa nahin saka vo meri kya thii ali ki us..ko dekhkar bas apni yaad aati thii

Ali Zaryoun

102 likes

More from Parveen Shakir

ab itni saadgi laayein kahaan se zameen ki KHair maange aasmaañ se agar chahein to vo deewaar kar den ha men ab kuchh nahin kehna zabaan se sitaara hi nahin jab saath deta to kashtii kaam le kya baadbaan se bhatkne se mile furqat to poochen pata manzil ka meer-e-kaarwaan se tavajjoh barq ki haasil rahi hai so hai azaad fikr-e-aashiyaan se hawa ko raaz-daan ham ne banaya aur ab naaraz KHushboo ke bayaañ se zaroori ho gaii hai dil ki zeenat makeen pahchaane jaate hain makaan se fana-fil-ishq hona chahte the magar furqat na thii kaar-e-jahaan se vagarna fasl-e-gul ki qadr kya thii badi hikmat hai waabasta khizaan se kisi ne baat ki thii hañs ke shaayad zamaane bhar se hain ham KHud gumaan se main ik ik teer pe KHud dhaal banti agar hota vo dushman ki kamaan se jo sabza dekh kar khe men lagaayein unhen takleef kyun pahunchen khizaan se jo apne ped jalte chhod jaayen unhen kya haq ki roothein baagbaan se

Parveen Shakir

0 likes

baja ki aankh men neendon ke silsile bhi nahin shikast-e-khwaab ke ab mujh men hausale bhi nahin nahin nahin ye khabar dushmanon ne dii hogii vo aa.e aa ke chale bhi ga.e mile bhi nahin ye kaun log andheron ki baat karte hain abhii to chaand tiri yaad ke dhale bhi nahin abhii se mire rafoogar ke haath thakne lage abhii to chaak mire zakham ke sile bhi nahin KHafaa agarche hamesha hue magar ab ke vo barhmi hai ki ham se unhen gile bhi nahin

Parveen Shakir

7 likes

dua ka toota hua harf sard aah men hai tiri judaai ka manzar abhii nigaah men hai tire badlne ke baa-wasf tujh ko chaaha hai ye e'tiraaf bhi shaamil mire gunaah men hai azaab dega to phir mujh ko KHvaab bhi dega main mutmain hooñ mira dil tiri panaah men hai bikhar chuka hai magar muskuraa ke milta hai vo rakh rakhaav abhii mire kaj-kulaah men hai jise bahaar ke mehmaan khaali chhod ga.e vo ik makaan abhii tak makeen ki chaah men hai yahii vo din the jab ik doosre ko paaya tha hamaari saal-girah theek ab ke maah men hai main bach bhi jaaun to tanhaaii maar daalegi mire qabeele ka har fard qatl-gaah men hai

Parveen Shakir

1 likes

chalne ka hausla nahin rukna muhaal kar diya ishq ke is safar ne to mujh ko nidhaal kar diya ai mirii gul-zameen tujhe chaah thii ik kitaab ki ahl-e-kitaab ne magar kya tira haal kar diya milte hue dilon ke beech aur tha faisla koius ne magar bichhadte vaqt aur sawaal kar diya ab ke hawa ke saath hai daaman-e-yaar muntazir baanu-e-shab ke haath men rakhna sanbhaal kar diya mumkina faislon men ek hijr ka faisla bhi tha ham ne to ek baat ki us ne kamaal kar diya mere labon pe mohr thii par mere sheesha-roo ne to shahar ke shahar ko mira waqif-e-haal kar diya chehra o naam ek saath aaj na yaad aa sake vaqt ne kis shabeeh ko KHvaab o khayal kar diya muddaton baa'd us ne aaj mujh se koi gilaa kiya mansab-e-dilbari pe kya mujh ko bahaal kar diya

Parveen Shakir

1 likes

baadbaan khulne se pahle ka ishaara dekhna main samundar dekhti hooñ tum kinaara dekhna yuñ bichadna bhi bahut aasaan na tha us se magar jaate jaate us ka vo mud kar dobara dekhna kis shabaahat ko li.e aaya hai darwaaze pe chaand ai shab-e-hijraan zaraa apna sitaara dekhna kya qayamat hai ki jin ke naam par paspa hue un hi logon ko muqaabil men saf-aara dekhna jab banaam-e-dil gawaahi sar ki maangi jaayegi KHoon men dooba hua parcham hamaara dekhna jeetne men bhi jahaan jee ka ziyaan pahle se hai aisi baazi haarne men kya khasaara dekhna aaine ki aankh hi kuchh kam na thii mere li.e jaane ab kya kya dikhaayega tumhaara dekhna ek musht-e-khaak aur vo bhi hawa ki zad men hai zindagi ki bebaasi ka isti'aara dekhna

Parveen Shakir

1 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Parveen Shakir.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Parveen Shakir's ghazal.