bada azar-e-jan hai vo agarche mehrban hai vo agarche mehrban hai vo bada azar-e-jan hai vo misal-e-asman hai vo mujhe zarkhez karta hai mujhe zarkhez karta hai misal-e-asman hai vo karim-o-saeban hai vo mujhe mahfuz rakhta hai mujhe mahfuz rakhta hai karim-o-saeban hai vo agarche be-makan hai vo panahen mujh ko deta hai panahen mujh ko deta hai agarche be-makan hai vo bada aram-e-jan hai vo liye phirta hai siine men liye phirta hai siine men bada aram-e-jan hai vo agarche be-zaban hai vo nazar se baat karta hai nazar se baat karta hai agarche be-zaban hai vo ik aisa zahr-e-jan hai vo main jis ko pi ke zinda huun main jis ko pi ke zinda huun ik aisa zahr-e-jan hai vo ki bahr-e-be-karan hai vo tabhi sahil nahin milta tabhi sahil nahin milta ki bahr-e-be-karan hai vo mizaj-e-dushmanan hai vo paraya bhi hai apna bhi paraya bhi hai apna bhi mizaj-e-dushmanan hai vo kamal-e-dostan hai vo vahi avval vahi akhir vahi avval vahi akhir kamal-e-dostan hai vo amir-e-karvan hai vo main us ki raah chalta huun main us ki raah chalta huun amir-e-karvan hai vo bada gauhar-fishan hai vo mujhe bhi kuchh guhar dega mujhe bhi kuchh guhar dega bada gauhar-fishan hai vo sunahri kahkashan hai vo dahakte hain kai suraj dahakte hain kai suraj sunahri kahkashan hai vo suna hai mehrban hai vo 'anis' itrate phirte hain 'anis' itrate phirte hain suna hai mehrban hai vo bada aazar-e-jaan hai wo agarche mehrban hai wo agarche mehrban hai wo bada aazar-e-jaan hai wo misal-e-asman hai wo mujhe zarkhez karta hai mujhe zarkhez karta hai misal-e-asman hai wo karim-o-saeban hai wo mujhe mahfuz rakhta hai mujhe mahfuz rakhta hai karim-o-saeban hai wo agarche be-makan hai wo panahen mujh ko deta hai panahen mujh ko deta hai agarche be-makan hai wo bada aaram-e-jaan hai wo liye phirta hai sine mein liye phirta hai sine mein bada aaram-e-jaan hai wo agarche be-zaban hai wo nazar se baat karta hai nazar se baat karta hai agarche be-zaban hai wo ek aisa zahr-e-jaan hai wo main jis ko pi ke zinda hun main jis ko pi ke zinda hun ek aisa zahr-e-jaan hai wo ki bahr-e-be-karan hai wo tabhi sahil nahin milta tabhi sahil nahin milta ki bahr-e-be-karan hai wo mizaj-e-dushmanan hai wo paraya bhi hai apna bhi paraya bhi hai apna bhi mizaj-e-dushmanan hai wo kamal-e-dostan hai wo wahi awwal wahi aakhir wahi awwal wahi aakhir kamal-e-dostan hai wo amir-e-karwan hai wo main us ki rah chalta hun main us ki rah chalta hun amir-e-karwan hai wo bada gauhar-fishan hai wo mujhe bhi kuchh guhar dega mujhe bhi kuchh guhar dega bada gauhar-fishan hai wo sunahri kahkashan hai wo dahakte hain kai suraj dahakte hain kai suraj sunahri kahkashan hai wo suna hai mehrban hai wo 'anis' itraate phirte hain 'anis' itraate phirte hain suna hai mehrban hai wo
Related Ghazal
yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle
Anand Raj Singh
526 likes
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf
Varun Anand
406 likes
zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de
Rahat Indori
190 likes
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Anees Ansari.
Similar Moods
More moods that pair well with Anees Ansari's ghazal.







