ghazalKuch Alfaaz

badhe chalo ki zamane ko ye dikhana hai jahan hamare qadam hain vahin zamana hai ye husn-o-ishq ki tafriq ik bahana hai kahin nazar ko kahin dil ko azmana hai ab is junun-e-talab ka koi thikana hai ki apne aap ko kho kar bhi un ko paana hai bas ek ishq hi aisa sharab-khana hai jahan surur ka mafhum hosh aana hai ilahi tamkanat-e-husn-o-naz-e-husn ki khair kuchh aaj ishq ka andaz valihana hai main har gunah ki haqiqat bata to duun sar-e-hashr magar unhen jo har ilzam se bachana hai zara junun-e-tamanna se dil guzar jaae phir is ke baad koi daam hai na daana hai main janta huun jo hai farq-e-zat-o-partav-e-zat miri nigah pas-e-parda-e-zamana hai kise nasib ho sajda ye aur baat hai 'kaif' har ik jabin ke qarib un ka astana hai badhe chalo ki zamane ko ye dikhana hai jahan hamare qadam hain wahin zamana hai ye husn-o-ishq ki tafriq ek bahana hai kahin nazar ko kahin dil ko aazmana hai ab is junun-e-talab ka koi thikana hai ki apne aap ko kho kar bhi un ko pana hai bas ek ishq hi aisa sharab-khana hai jahan surur ka mafhum hosh aana hai ilahi tamkanat-e-husn-o-naz-e-husn ki khair kuchh aaj ishq ka andaz walihana hai main har gunah ki haqiqat bata to dun sar-e-hashr magar unhen jo har ilzam se bachana hai zara junun-e-tamanna se dil guzar jae phir is ke baad koi dam hai na dana hai main jaanta hun jo hai farq-e-zat-o-partaw-e-zat meri nigah pas-e-parda-e-zamana hai kise nasib ho sajda ye aur baat hai 'kaif' har ek jabin ke qarib un ka aastana hai

Related Ghazal

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

ham ne kab chaaha ki vo shaKHs hamaara ho jaa.e itnaa dik jaa.e ki aankhoñ ka guzaara ho jaa.e ham jise paas bitha len vo bichhad jaata hai tum jise haath laga do vo tumhaara ho jaa.e tum ko lagta hai ki tum jeet ga.e ho mujh se hai yahii baat to phir khel dubara ho jaa.e hai mohabbat bhi ajab tarz-e-tijaarat ki yahaañ har dukaan-daar ye chahe ki khasaara ho jaa.e

Yasir Khan

92 likes

haath khaali hain tire shahar se jaate jaate jaan hoti to mirii jaan lutate jaate ab to har haath ka patthar ha men pahchaanta hai umr guzri hai tire shahar men aate jaate ab ke mayus hua yaaron ko ruksat kar ke ja rahe the to koi zakham lagaate jaate renagne ki bhi ijaazat nahin ham ko warna ham jidhar jaate naye phool khilaate jaate main to jalte hue seharaaon ka ik patthar tha tum to dariyaa the mirii pyaas bujhaate jaate mujh ko rone ka saleeqa bhi nahin hai shaayad log hanste hain mujhe dekh ke aate jaate ham se pahle bhi musaafir kaii guzre honge kam se kam raah ke patthar to hataate jaate

Rahat Indori

102 likes

tamasha-e-deir-o-haram dekhte hain tujhe har bahaane se ham dekhte hain hamaari taraf ab vo kam dekhte hain vo nazrein nahin jin ko ham dekhte hain zamaane ke kya kya sitam dekhte hain humeen jaante hain jo ham dekhte hain

Dagh Dehlvi

84 likes

kisi libaas ki khushboo jab ud ke aati hai tere badan ki judaai bahut sataati hai tere gulaab tarsate hain teri khushboo ko teri safed chameli tujhe bulaati hai tere baghair mujhe chain kaise padta hain mere bagair tujhe neend kaise aati hai

Jaun Elia

113 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Kaif Moradaabadi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Kaif Moradaabadi's ghazal.