ghazalKuch Alfaaz

bagair us..ko bataaye nibh aanaa padta hai ye ishq raaz hai isko chhup aanaa padta hai main apne zehan ki zid se bahut pareshaan hooñ tere khyaal ki chaukhat pe aanaa padta hai tere bagair hi achchhe the kya museebat hai ye kaisa pyaar hai har din jat aanaa padta hai

Related Ghazal

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

Rehman Faris

196 likes

kis tarah hogaa fakeeron ka guzaara soche usse kehna ki vo ik baar dobaara soche kaise mumkin hai use aur koi kaam na ho kaise mumkin hai ki vo sirf hamaara soche tere aflaak pe jaa.e to sitaara chamke mere aflaak pe aaye to sitaara soche toote patwaar ki kashtii ka muqaddar kya hai ye to dariyaa hi bataaye ya kinaara soche aisa mauka ho ki bas ek hi bach saka ho aur us waqt bhi ek shakhs tumhaara soche

Zahid Bashir

40 likes

thoda likkha aur ziyaada chhod diya aane waalon ke li.e rastaa chhod diya tum kya jaano us dariyaa par kya guzri tumne to bas paani bharna chhod diya ladkiyaan ishq men kitnii paagal hoti hain phone baja aur choolha jalta chhod diya roz ik patta mujh men aa girta hai jab se maine jungle jaana chhod diya bas kaanon par haath rakhe the thodii der aur phir us aawaaz ne peecha chhod diye

Tehzeeb Hafi

262 likes

kya ghalatfahmi men rah jaane ka sadma kuchh nahin vo mujhe samjha to saka tha ki aisa kuchh nahin ishq se bach kar bhi banda kuchh nahin hota magar ye bhi sach hai ishq men bande ka bachta kuchh nahin jaane kaise raaz seene men li.e baitha hai vo zahr kha leta hai par munh se ugalta kuchh nahin shukr hai ki usne mujhse kah diya ki kuchh to hai main usse kehne hi vaala tha ki achha kuchh nahin

Tehzeeb Hafi

105 likes

More from Mehshar Afridi

ishq men daan karna padta hai jaañ ko halkaan karna padta hai tajarba muft men nahin milta pahle nuqsaan karna padta hai uski be lafz guftagoo ke li.e aankh ko kaan karna padta hai phir udaasi ke bhi taqaaze hain ghar ko veeraan karna padta hai

Mehshar Afridi

37 likes

hawa ke chalte hi baadal ka saaf ho jaana jo habs tootna baarish KHilaaf ho jaana mire khameer ki dahqaaniyat jataata hai ye tum se mil ke mira sheen qaaf ho jaana ghuroor-e-husn se koi umeed mat karna khataayein karna to KHud hi mua'af ho jaana main tez dhoop men jal kar bhi yaad karta hooñ vo sard raat men us ka lihaaf ho jaana mujh aise shaKHs ko raushan-zameer kar dega vo be-qaraar hai ye inkishaaf ho jaana

Mehshar Afridi

8 likes

har andhera raushni men lag gaya jis..ko dekho shayari men lag gaya hamko mar jaane ki fursat kab mili vaqt saara zindagi men lag gaya apna maikhaana banaa sakte the ham itnaa paisa maikashi men lag gaya KHud se itni door ja nikle the ham ik zamaana waapsi men lag gaya

Mehshar Afridi

53 likes

itnaa majboor na kar baat banaane lag jaayen ham tere sar kii qasam jhooth hi khaane lag jaayen itne sannaate pi.e meri sama'at ne ki ab sirf aavaaz pe chaahoon to nishaane lag jaayen chaliye kuchh aur nahin aah-shumaarii hi sahi ham kisi kaam to is dil ke bahaane lag jaayen ham vo gum-gasht-e-mohabbat hain ki tum to kya ho khud ko ham dhoondhne niklen to zamaane lag jaayen khvaab kuchh aise dikhaaye hain faqiri ne mujhe jin kii ta'beer men shahon ke khazaane lag jaayen main agar apni jawaani ke suna doon qisse ye jo launde hain mire paanv dabane lag jaayen

Mehshar Afridi

173 likes

chand gaz kii shehriyat kis kaam kii udna aata hai to chhat kis kaam kii jab tumhein chehre badlne ka hai shauq phir tumhaari asliyat kis kaam kii poochne vaala nahin koii mizaaj is qadar bhi khairiyat kis kaam kii ham bhi kapdon ko agar tarjeeh den phir hamaari shakhsiyat kis kaam kii

Mehshar Afridi

12 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Mehshar Afridi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Mehshar Afridi's ghazal.