bahaarein luta deen jawaani luta dii tumhaare li.e zindagaani luta dii saba ne to barsaaye gul fasl-e-gul men ghatta ne may-e-araghwaani luta dii adaaon pe kar dii fida saari hasti nigaahon pe duniya-e-faani luta dii ajab daulat-e-husn paai thii dil nena maani mirii ik na maani luta dii na khona tha ghaflat men ahad-e-jawaani ajab raat thii ye suhaani luta dii na kii husn kii qadr ai maah-e-kaamil faqat raat bhar men jawaani luta dii haseenon ne rangeeni-e-khwab-e-sheereen sooni jab hamaari kahaanii luta dii ajab hausla ham ne guncha ka dekha tabassum pe saari jawaani luta dii jaleel aap kii shayari par kisi ne nigaahon kii jadoo-bayaani luta dii
Related Ghazal
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de
Rahat Indori
190 likes
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
thoda likkha aur ziyaada chhod diya aane waalon ke li.e rastaa chhod diya tum kya jaano us dariyaa par kya guzri tumne to bas paani bharna chhod diya ladkiyaan ishq men kitnii paagal hoti hain phone baja aur choolha jalta chhod diya roz ik patta mujh men aa girta hai jab se maine jungle jaana chhod diya bas kaanon par haath rakhe the thodii der aur phir us aawaaz ne peecha chhod diye
Tehzeeb Hafi
262 likes
ye maine kab kaha ki mere haq men faisla kare agar vo mujh se KHush nahin hai to mujhe juda kare main uske saath jis tarah guzaarta hooñ zindagi use to chahiye ki meraa shukriya ada kare meri dua hai aur ik tarah se baddua bhi hai KHuda tumhein tumhaare jaisi betiyaan ata kare banaa chuka hooñ main mohabbaton ke dard ki davaa agar kisi ko chahiye to mujhse raabta kare
Tehzeeb Hafi
292 likes
More from Jaleel Manikpuri
na khushi achchhii hai ai dil na malaal achha hai yaar jis haal men rakhe vahii haal achha hai dil-e-betaab ko pahluu men machalte kya der sun le itnaa kisi kaafir ka jamaal achha hai baat ulti vo samjhte hain jo kuchh kahtaa hooñ ab ke poocha to ye kah dooñga ki haal achha hai sohbat aaiine se bachpan men KHuda KHair kare vo abhii se kahii samjhen na jamaal achha hai mushtari dil ka ye kah kah ke banaya un ko cheez anokhi hai nayi jins hai maal achha hai chashm o dil jis ke hon mushtaaq vo soorat achchhii jis ki taa'riif ho ghar ghar vo jamaal achha hai yaar tak roz pahunchti hai buraai meri rashk hota hai ki mujh se mira haal achha hai apni aañkhen nazar aati hain jo achchhii un ko jaante hain mire beemaar ka haal achha hai baaton baaton men laga laaye haseenon ko jaleel tum ko bhi seher-bayaani men kamaal achha hai
Jaleel Manikpuri
6 likes
aks hai aaina-e-dahr men soorat meri kuchh haqeeqat nahin itni hai haqeeqat meri dekhta main use kyunkar ki naqaab uthte hi ban ke deewaar khadi ho gaii hairat meri roz vo KHvaab men aate hain gale milne ko main jo sota hooñ to jaag uthatii hai qismat meri sach hai ehsaan ka bhi bojh bahut hota hai chaar phoolon se dabii jaati hai turbat meri aaiine se unhen kuchh uns nahin baat ye hai chahte hain koi dekha kare soorat meri main ye samjhoon koi maashooq mire haath aaya mire qaabu men jo aa jaa.e tabi'at meri boo-e-gesoo ne shagoofa ye naya chhodaa hai nikhat-e-gul se uljhti hai tabi'at meri un se izhaar-e-mohabbat jo koi karta hai door se us ko dikha dete hain turbat meri jaate jaate vo yahii kar ga.e taakeed jaleel dil men rakhiyega hifazat se mohabbat meri
Jaleel Manikpuri
2 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Jaleel Manikpuri.
Similar Moods
More moods that pair well with Jaleel Manikpuri's ghazal.







