ghazalKuch Alfaaz

bahut dil ko kushada kar liya kya zamane bhar se vaada kar liya kya to kya sach-much judai mujh se kar li to khud apne ko aadha kar liya kya hunar-mandi se apni dil ka safha miri jaan tum ne saada kar liya kya jo yaksar jaan hai us ke badan se kaho kuchh istifada kar liya kya bahut katra rahe ho mughhbachon se gunah-e-tark-e-bada kar liya kya yahan ke log kab ke ja chuke hain safar jada-ba-jada kar liya kya uthaya ik qadam tu ne na us tak bahut apne ko manda kar liya kya tum apni kaj-kulahi haar baithin badan ko be-libada kar liya kya bahut nazdik aati ja rahi ho bichhadne ka irada kar liya kya bahut dil ko kushada kar liya kya zamane bhar se wada kar liya kya to kya sach-much judai mujh se kar li to khud apne ko aadha kar liya kya hunar-mandi se apni dil ka safha meri jaan tum ne sada kar liya kya jo yaksar jaan hai us ke badan se kaho kuchh istifada kar liya kya bahut katra rahe ho mughbachon se gunah-e-tark-e-baada kar liya kya yahan ke log kab ke ja chuke hain safar jada-ba-jada kar liya kya uthaya ek qadam tu ne na us tak bahut apne ko manda kar liya kya tum apni kaj-kulahi haar baithin badan ko be-libaada kar liya kya bahut nazdik aati ja rahi ho bichhadne ka irada kar liya kya

Related Ghazal

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

Rehman Faris

196 likes

zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de

Rahat Indori

190 likes

paagal kaise ho jaate hain dekho aise ho jaate hain KHvaabon ka dhanda karti ho kitne paise ho jaate hain duniya sa hona mushkil hai tere jaise ho jaate hain mere kaam KHuda karta hai tere vaise ho jaate hain

Ali Zaryoun

158 likes

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Jaun Eliya.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Jaun Eliya's ghazal.