ghazalKuch Alfaaz

baithe baithe kaisa dil ghabra jaata hai jaane waalon ka jaana yaad aa jaata hai baat-cheet men jis ki ravaani masal hui ek naam lete men kuchh ruk sa jaata hai hansati-basati raahon ka khush-baash musaafir rozi ki bhatti ka eendhan ban jaata hai daftar mansab dono zehan ko kha lete hain ghar waalon ki qismat men tan rah jaata hai ab is ghar ki aabaa dii mehmaanon par hai koi aa jaa.e to vaqt guzar jaata hai daftar mansab dono zehan ko kha lete hain ghar waalon ki qismat men tan rah jaata hai ab is ghar ki aabaa dii mehmaanon par hai koi aa jaa.e to vaqt guzar jaata hai

Related Ghazal

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla

Tehzeeb Hafi

435 likes

baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

Rehman Faris

196 likes

KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai

Shabeena Adeeb

232 likes

maine jo kuchh bhi socha hua hai main vo vaqt aane pe kar jaaunga tum mujhe zahar lagte ho aur main kisi din tumhein pee ke mar jaaunga tu to beenaai hai meri tere alaava mujhe kuchh bhi dikhta nahin maine tujhko agar tere ghar pe utaara to main kaise ghar jaaunga chahta hooñ tumhein aur bahut chahta hooñ tumhein KHud bhi maaloom hai haan agar mujhse poocha kisi ne to main seedha munh par mukar jaaunga tere dil se tere shahar se tere ghar se teri aankh se tere dar se teri galiyon se tere watan se nikala hua hooñ kidhar jaaunga

Tehzeeb Hafi

241 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Zehra Nigaah.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Zehra Nigaah's ghazal.