ghazalKuch Alfaaz

bala se koi kahe din ko raat chup rahna tum apne honton pe rakh lena haat chup rahna kahin pe kuchh bhi nazar aae puchhna mat kuchh kabhi nikalna agar mere saath chup rahna khuda ne bakhsha hai kya zarf mom-batti ko pighalte rahna magar saari raat chup rahna tumhare sar pe bagule bhi aa ke chikhenge magar bhulana nahin meri baat chup rahna tumhari chikh tumhen be-panah kar degi shikari kab se lagae hai ghaat chup rahna zaban taalu men paivast kar ke rakhna 'talab' koi mazaq hai kya ta-hayat chup rahna bala se koi kahe din ko raat chup rahna tum apne honton pe rakh lena hat chup rahna kahin pe kuchh bhi nazar aae puchhna mat kuchh kabhi nikalna agar mere sath chup rahna khuda ne bakhsha hai kya zarf mom-batti ko pighalte rahna magar sari raat chup rahna tumhaare sar pe bagule bhi aa ke chikhenge magar bhulana nahin meri baat chup rahna tumhaari chikh tumhein be-panah kar degi shikari kab se lagae hai ghat chup rahna zaban talu mein paiwast kar ke rakhna 'talab' koi mazaq hai kya ta-hayat chup rahna

Related Ghazal

seena dahak raha ho to kya chup rahe koi kyun cheekh cheekh kar na gala chheel le koi saabit hua sukoon-e-dil-o-jaan kahii nahin rishton men dhoondhta hai to dhoonda kare koi tark-e-taalluqaat koi mas'ala nahin ye to vo raasta hai ki bas chal pade koi deewaar jaanta tha jise main vo dhool thii ab mujh ko e'timaad ki daawat na de koi main KHud ye chahta hooñ ki haalaat hooñ KHaraab mere KHilaaf zahar ugalta phire koi ai shaKHs ab to mujh ko s abhii kuchh qubool hai ye bhi qubool hai ki tujhe cheen le koi haan theek hai main apni ana ka mareez hooñ aaKHir mere mizaaj men kyun dakhl de koi ik shaKHs kar raha hai abhii tak vafaa ka zikr kaash us zabaan-daraaz ka munh noch le koi

Jaun Elia

77 likes

ab mere saath nahin hai samjhe naasamjhaane kii baat nahin hai samjhe naa tum maangoge aur tumhein mil jaayega pyaar hai ye khairaat nahin hai samjhe naa main baadal hooñ jis par chaahoon barsoonga meri koii zaat nahin hai samjhe naa apna khaali haath mujhe mat dikhlaao is men meraa haath nahin hai samjhe naa

Zubair Ali Tabish

66 likes

haath khaali hain tire shahar se jaate jaate jaan hoti to mirii jaan lutate jaate ab to har haath ka patthar ha men pahchaanta hai umr guzri hai tire shahar men aate jaate ab ke mayus hua yaaron ko ruksat kar ke ja rahe the to koi zakham lagaate jaate renagne ki bhi ijaazat nahin ham ko warna ham jidhar jaate naye phool khilaate jaate main to jalte hue seharaaon ka ik patthar tha tum to dariyaa the mirii pyaas bujhaate jaate mujh ko rone ka saleeqa bhi nahin hai shaayad log hanste hain mujhe dekh ke aate jaate ham se pahle bhi musaafir kaii guzre honge kam se kam raah ke patthar to hataate jaate

Rahat Indori

102 likes

khaali baithe ho to ik kaam meraa kar do naa mujh ko achha sa koii zaKHm ada kar do naa dhyaan se panchiyo ko dete ho daana paani itne achchhe ho to pinjare se rihaa kar do naa jab qareeb aa hi ga.e ho to udaasi kaisi jab diya de hi rahe ho to jala kar do naa

Zubair Ali Tabish

102 likes

zane haseen thii aur phool chun kar laati thii main she'r kahtaa tha vo dastaan sunaati thii arab lahu tha ragon men badan sunhara tha vo muskuraati nahin thii dii.e jalaati thii ali se door raho log usse kahte the vo meraa sach hai bahut cheekh kar bataati thii ali ye log tumhein jaante nahin hain abhii gale lagaakar meraa hausla badhaati thii ye phool dekh rahe ho ye uskaa lahjaa tha ye jheel dekh rahe ho yahaañ vo aati thii main uske baad k abhii theek se nahin jaaga vo mujh...ko khwaab nahin neend se jagati thii use kisi se mohabbat thii aur vo main nahin tha ye baat mujhse zyaada use roolaati thii main kuchh bataa nahin saka vo meri kya thii ali ki us..ko dekhkar bas apni yaad aati thii

Ali Zaryoun

102 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Khurshid Talab.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Khurshid Talab's ghazal.