banae rakhta hai ankhon men raushni aansu so mera khvab bhi aansu hai niind bhi aansu ugenge niind ke paude pe kuchh nae nae khvab karega aankh men jab kimiya-gari aansu bana hua hai sitara hamari ankhon ka tapakta hi nahin ankhon se akhiri aansu kabhi jo rone ka ji ho to khul ke ro lena bana ke rakhta hai logon ko aadmi aansu mira khayal tasavvur yahi mujhe mazmun miri zaban bhi aansu hai shairi aansu nazar jhuka ke vo kahti thi mujh ko patthar dil milati aankh to ankhon men dekhti aansu hamare rone ko tum ranj kyon samajhte ho hamara rona khushi hai shaguftagi aansu banae rakhta hai aankhon mein raushni aansu so mera khwab bhi aansu hai nind bhi aansu ugenge nind ke paude pe kuchh nae nae khwab karega aankh mein jab kimiya-gari aansu bana hua hai sitara hamari aankhon ka tapakta hi nahin aankhon se aakhiri aansu kabhi jo rone ka ji ho to khul ke ro lena bana ke rakhta hai logon ko aadmi aansu mera khayal tasawwur yahi mujhe mazmun meri zaban bhi aansu hai shairi aansu nazar jhuka ke wo kahti thi mujh ko patthar dil milati aankh to aankhon mein dekhti aansu hamare rone ko tum ranj kyon samajhte ho hamara rona khushi hai shaguftagi aansu
Related Ghazal
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
232 likes
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira
Fahmi Badayuni
96 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Dheerendra Singh Faiyaz.
Similar Moods
More moods that pair well with Dheerendra Singh Faiyaz's ghazal.







