ghazalKuch Alfaaz

bata ai abr musavat kyuun nahin karta hamare gaanv men barsat kyuun nahin karta mahaz-e-ishq se kab kaun bach ke nikla hai tu bach gaya hai to khairat kyuun nahin karta vo jis ki chhanv men pachchis saal guzre hain vo ped mujh se koi baat kyuun nahin karta main jis ke saath kai din guzar aaya huun vo mere saath basar raat kyuun nahin karta mujhe tu jaan se badh kar aziiz ho gaya hai to mere saath koi haath kyuun nahin karta bata ai abr musawat kyun nahin karta hamare ganw mein barsat kyun nahin karta mahaz-e-ishq se kab kaun bach ke nikla hai tu bach gaya hai to khairaat kyun nahin karta wo jis ki chhanw mein pachchis sal guzre hain wo ped mujh se koi baat kyun nahin karta main jis ke sath kai din guzar aaya hun wo mere sath basar raat kyun nahin karta mujhe tu jaan se badh kar aziz ho gaya hai to mere sath koi hath kyun nahin karta

Related Ghazal

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

Rehman Faris

196 likes

paagal kaise ho jaate hain dekho aise ho jaate hain KHvaabon ka dhanda karti ho kitne paise ho jaate hain duniya sa hona mushkil hai tere jaise ho jaate hain mere kaam KHuda karta hai tere vaise ho jaate hain

Ali Zaryoun

158 likes

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

jo tere saath rahte hue sogwaar ho laanat ho aise shaKHs pe aur beshumaar ho ab itni der bhi na laga ye ho na kahii tu aa chuka ho aur teraa intezar ho main phool hooñ to phir tere baalo men kyuuñ nahin hooñ tu teer hai to mere kaleje ke paar ho ek aasteen chadhaane ki aadat ko chhod kar haafi tum aadmi to bahut shaandaar ho

Tehzeeb Hafi

268 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Tahzeeb Hafi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Tahzeeb Hafi's ghazal.