be-tab hain aur ishq ka daava nahin ham ko avara hain aur dasht ka sauda nahin ham ko ghhairon ki mohabbat pe yaqin aane laga hai yaron se agarche koi shikva nahin ham ko nairangi-e-dil hai ki taghhaful ka karishma kya baat hai jo teri tamanna nahin ham ko ya tere alava bhi kisi shai ki talab hai ya apni mohabbat pe bharosa nahin ham ko ya tum bhi mudava-e-alam kar nahin sakte ya charagaro fikr-e-mudava nahin ham ko yuun barhami-e-kakul-e-imroz se khush hain jaise ki khayal-e-rukh-e-farda nahin ham ko be-tab hain aur ishq ka dawa nahin hum ko aawara hain aur dasht ka sauda nahin hum ko ghairon ki mohabbat pe yaqin aane laga hai yaron se agarche koi shikwa nahin hum ko nairangi-e-dil hai ki taghaful ka karishma kya baat hai jo teri tamanna nahin hum ko ya tere alawa bhi kisi shai ki talab hai ya apni mohabbat pe bharosa nahin hum ko ya tum bhi mudawa-e-alam kar nahin sakte ya chaaragaro fikr-e-mudawa nahin hum ko yun barhami-e-kakul-e-imroz se khush hain jaise ki khayal-e-rukh-e-farda nahin hum ko
Related Ghazal
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
232 likes
yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle
Anand Raj Singh
526 likes
paagal kaise ho jaate hain dekho aise ho jaate hain KHvaabon ka dhanda karti ho kitne paise ho jaate hain duniya sa hona mushkil hai tere jaise ho jaate hain mere kaam KHuda karta hai tere vaise ho jaate hain
Ali Zaryoun
158 likes
More from Shahryar
tere vaade ko kabhi jhooth nahin samjhoonga aaj ki raat bhi darwaaza khula rakkhoonga dekhne ke li.e ik chehra bahut hota hai aankh jab tak hai tujhe sirf tujhe dekhoonga meri tanhaaii ki ruswaai ki manzil aayi vasl ke lamhe se main hijr ki shab badloonga shaam hote hi khulii sadkon ki yaad aati hai sochta roz hooñ main ghar se nahin nikloonga ta-ki mahfooz rahe mere qalam ki hurmat sach mujhe likhna hai main husn ko sach likkhoonga
Shahryar
6 likes
dil cheez kya hai aap mirii jaan leejie bas ek baar meraa kaha maan leejie is anjuman men aap ko aanaa hai baar baar deewar-o-dar ko ghaur se pahchaan leejie m aanaa ki doston ko nahin dosti ka paas lekin ye kya ki gair ka ehsaan leejie kahiye to aasmaañ ko zameen par utaar laayein mushkil nahin hai kuchh bhi agar thaan leejie
Shahryar
8 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Shahryar.
Similar Moods
More moods that pair well with Shahryar's ghazal.







