bhaven tanati hain khanjar haath men hai tan ke baithe hain kisi se aaj bigdi hai ki vo yuñ ban ke baithe hain dilon par saikron sikke tire joban ke baithe hain kalejon par hazaaron teer is chitwan ke baithe hain ilaahi kyun nahin uthatii qayamat maajra kya hai hamaare saamne pahluu men vo dushman ke baithe hain ye gustaakhi ye chhed achchhii nahin hai ai dil-e-naadaañ abhii phir rooth jaayenge abhii to man ke baithe hain asar hai jazb-e-ulfat men to khinch kar aa hi jaayenge ha men parwa nahin ham se agar vo tan ke baithe hain subuk ho jaayenge gar jaayenge vo bazm-e-dushman men ki jab tak ghar men baithe hain vo laakhon man ke baithe hain fusoon hai ya dua hai ya mu'ammaa khul nahin saka vo kuchh padhte hue aage mire madfan ke baithe hain bahut roya hooñ main jab se ye main ne KHvaab dekha hai ki aap aañsu behaate saamne dushman ke baithe hain khade hon zer-e-tooba vo na dam lene ko dam bhar bhi jo hasrat-mand tere saaya-e-daaman ke baithe hain talaash-e-manzil-e-maqsad ki gardish uth nahin sakti kamar khole hue raaste men ham rehzan ke baithe hain ye josh-e-giryaa to dekho ki jab furqat men roya hooñ dar o deewaar ik pal men mire madfan ke baithe hain nigaah-e-shokh o chashm-e-shauq men dar-parda chhanti hai ki vo chilman men hain nazdeek ham chilman ke baithe hain ye uthna baithna mehfil men un ka rang laayega qayamat ban ke uthhenge bhobooka ban ke baithe hain kisi ki shaamat aayegi kisi ki jaan jaayegi kisi ki taak men vo baam par ban-than ke baithe hain qasam de kar unhen ye pooch lo tum rang-dhang us ke tumhaari bazm men kuchh dost bhi dushman ke baithe hain koi chheenta pade to daagh kolkata chale jaayen azeemaabad men ham muntazir saawan ke baithe hain
Related Ghazal
paagal kaise ho jaate hain dekho aise ho jaate hain KHvaabon ka dhanda karti ho kitne paise ho jaate hain duniya sa hona mushkil hai tere jaise ho jaate hain mere kaam KHuda karta hai tere vaise ho jaate hain
Ali Zaryoun
158 likes
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
232 likes
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge
Tehzeeb Hafi
465 likes
More from Dagh Dehlvi
khaatir se ya lihaaz se main maan to gaya jhooti qasam se aap ka eimaan to gaya dil le ke muft kahte hain kuchh kaam ka nahin ulti shikaayaten hui ehsaan to gaya dartaa hooñ dekh kar dil-e-be-aarzoo ko main sunsaan ghar ye kyun na ho mehmaan to gaya kya aa.e raahat aayi jo kunj-e-mazaar men vo valvala vo shauq vo armaan to gaya dekha hai but-kade men jo ai shaikh kuchh na pooch eimaan ki to ye hai ki eimaan to gaya ifsha-e-raaz-e-ishq men go zillatein hui lekin use jata to diya jaan to gaya go nama-bar se KHush na hua par hazaar shukr mujh ko vo mere naam se pahchaan to gaya bazm-e-aduu men soorat-e-parwaana dil mira go rashk se jala tire qurbaan to gaya hosh o hawas o taab o tavaan daagh ja chuke ab ham bhi jaane waale hain samaan to gaya
Dagh Dehlvi
1 likes
jo ho saka hai us se vo kisi se ho nahin saka magar dekho to phir kuchh aadmi se ho nahin saka mohabbat men kare kya kuchh kisi se ho nahin saka mira marna bhi to meri khushi se ho nahin saka alag karna raqeebon ka ilaahi tujh ko aasaan hai mujhe mushkil ki meri bekasi se ho nahin saka kiya hai waada-e-farda unhon ne dekhiye kya ho yahaañ sabr o tahammul aaj hi se ho nahin saka ye mushtaqq-e-shahaadat kis jagah jaayen kise dhunden ki teraa kaam qaateel jab tujhi se ho nahin saka laga kar teg qissa paak keejie daad-khwaaho ka kisi ka faisla kar munsifi se ho nahin saka mira dushman ba-zaahir chaar din ko dost hai teraa kisi ka ho rahe ye har kisi se ho nahin saka pursish kahoge kya vahaañ jab yaa ye soorat hai ada ik harf-e-waada nazuki se ho nahin saka na kahiye go ki haal-e-dil magar rang-aashnaa hain ham ye zaahir aap ki kya KHaamushi se ho nahin saka kiya jo ham ne zalim kya karega gair munh kya hai kare to sabr aisa aadmi se ho nahin saka chaman men naaz bulbul ne kiya jo apni naale par chatk kar guncha bola kya kisi se ho nahin saka nahin gar tujh pe qaabu dil hai par kuchh zor ho apna karoon kya ye bhi to na-taaqati se ho nahin saka na rona hai tariqe ka na hansna hai saleeqe ka pareshaani men koi kaam jee se ho nahin saka hua hooñ is qadar mahjoob arz-e-muddaa kar ke ki ab to uzr bhi sharmindagi se ho nahin saka ghazab men jaan hai kya kijeye badla ranj-e-furqat ka badi se kar nahin sakte khushi se ho nahin saka mazaa jo iztiraab-e-shauq se 'aashiq ko hai haasil vo tasleem o raza o bandagi se ho nahin saka KHuda jab dost hai ai daagh kya dushman se andesha hamaara kuchh kisi ki dushmani se ho nahin saka
Dagh Dehlvi
3 likes
is ada se vo jafaa karte hain koi jaane ki vafaa karte hain yuñ vafaa ahad-e-wafaa karte hain aap kya kahte hain kya karte hain ham ko chhedoge to pachtayoge hansne waalon se hansa karte hain nama-bar tujh ko saleeqa hi nahin kaam baaton men banaa karte hain cha li.e 'aashiq ka janaaza utha aap baithe hue kya karte hain ye bataata nahin koi mujh ko dil jo aata hai to kya karte hain husn ka haq nahin rehta baaki har ada men vo ada karte hain teer aaKHir badl-e-kaafir hai ham akheer aaj dua karte hain rote hain gair ka rona paharon ye hañsi mujh se hansa karte hain is li.e dil ko laga rakha hai is men mahboob raha karte hain tum miloge na vahaañ bhi ham se hashr se pahle gilaa karte hain jhaank kar rauzan-e-dar se mujh ko kya vo shokhi se haya karte hain us ne ehsaan jata kar ye kaha aap kis munh se gilaa karte hain roz lete hain naya dil dilbar nahin maaloom ye kya karte hain daagh tu dekh to kya hota hai jabr par sabr kiya karte hain
Dagh Dehlvi
5 likes
is nahin ka koi ilaaj nahin roz kahte hain aap aaj nahin kal jo tha aaj vo mizaaj nahin is talavvun ka kuchh ilaaj nahin aaina dekhte hi itraaye phir ye kya hai agar mizaaj nahin le ke dil rakh lo kaam aayega go abhii tum ko ehtiyaaj nahin ho saken ham mizaaj-daan kyunkar ham ko milta tira mizaaj nahin chup lagii laal-e-jaan-faza ko tire is maseeha ka kuchh ilaaj nahin dil-e-be-muddaa KHuda ne diya ab kisi shay ki ehtiyaaj nahin khote daamon men ye bhi kya thehra dirham-e-'daagh ka rivaaj nahin be-niyaazi ki shaan kahti hai bandagi ki kuchh ehtiyaaj nahin dil-lagi keejie raqeebon se is tarah ka mira mizaaj nahin ishq hai paadshaah-e-aalam-geer garche zaahir men takht-o-taaj nahin dard-e-furqat ki go davaa hai visaal is ke qaabil bhi har mizaaj nahin yaas ne kya bujha diya dil ko ki tadap kaisi ikhtilaaj nahin ham to seerat-pasand 'aashiq hain khoob-roo kya jo khush-mizaj nahin hoor se poochta hooñ jannat men is jagah kya buton ka raaj nahin sabr bhi dil ko daagh de lenge abhii kuchh is ki ehtiyaaj nahin
Dagh Dehlvi
2 likes
in aankhoñ ne kya kya tamasha na dekha haqeeqat men jo dekhna tha na dekha tujhe dekh kar vo dui uth gaii hai ki apna bhi saani na dekha na dekha un aankhoñ ke qurbaan jaaun jinhonne hazaaron hijaabo men parwaana dekha na himmat na qismat na dil hai na aañkhenna dhoondhaan paaya na samjha na dekha bahut dard-mandon ko dekha hai tune ye seena ye dil ye kaleja na dekha vo kab dekh saka hai us ki tajalli jis insaan ne apna hi jalwa na dekha bahut shor sunte the is anjuman ka yahaan aa ke jo kuchh suna tha na dekha use dekh kar aur ko phir jo dekhe koi dekhne vaala aisa na dekha gaya kaarwaan chhod kar mujh ko tanhaa zaraa mere aane ka rastaa na dekha tiri yaad hai ya hai teraa tasavvur kabhi daagh ko ham ne tanhaa na dekha
Dagh Dehlvi
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Dagh Dehlvi.
Similar Moods
More moods that pair well with Dagh Dehlvi's ghazal.







