bikharte rabton ka hai bichhadte raston ka hai december naam hai jis ka mahina hadson ka hai kahin hai aas ka badal kahin yadon ki bunden hain machalti khvahishon ka hai ye mausam barishon ka hai vahi mai-kash havaen hain vahi gum-sum fazaen hain miri pur-amn duniya men ye mausam sazishon ka hai purane 'arize saare umad aae hain ankhon men ye mausam hai sarabon ka ye mausam vasvason ka hai vahi sab rat-jage 'abrak' vahi tere gile 'abrak' ki us ke baa'd bhi har pal usi ki vahshaton ka hai bikharte rabton ka hai bichhadte raston ka hai december nam hai jis ka mahina hadson ka hai kahin hai aas ka baadal kahin yaadon ki bunden hain machalti khwahishon ka hai ye mausam barishon ka hai wahi mai-kash hawaen hain wahi gum-sum fazaen hain meri pur-amn duniya mein ye mausam sazishon ka hai purane 'arize sare umad aae hain aankhon mein ye mausam hai sarabon ka ye mausam waswason ka hai wahi sab rat-jage 'abrak' wahi tere gile 'abrak' ki us ke ba'd bhi har pal usi ki wahshaton ka hai
Related Ghazal
sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge
Zubair Ali Tabish
140 likes
kiya baadlon men safar zindagi bhar zameen par banaya na ghar zindagi bhar sabhi zindagi ke maze lootte hainna aaya ha men ye hunar zindagi bhar mohabbat rahi chaar din zindagi men raha chaar din ka asar zindagi bhar
Anwar Shaoor
95 likes
chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon
Ali Zaryoun
105 likes
ham ne kab chaaha ki vo shaKHs hamaara ho jaa.e itnaa dik jaa.e ki aankhoñ ka guzaara ho jaa.e ham jise paas bitha len vo bichhad jaata hai tum jise haath laga do vo tumhaara ho jaa.e tum ko lagta hai ki tum jeet ga.e ho mujh se hai yahii baat to phir khel dubara ho jaa.e hai mohabbat bhi ajab tarz-e-tijaarat ki yahaañ har dukaan-daar ye chahe ki khasaara ho jaa.e
Yasir Khan
92 likes
pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira
Fahmi Badayuni
96 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Atbaf Abrak.
Similar Moods
More moods that pair well with Atbaf Abrak's ghazal.







