ghazalKuch Alfaaz

chaarpaai pe aa utaari hai zindagi jinda laash bhari hai aap dukh de rahe hai ro raha hun aur ye filhaal jaarii hai rona likha gaya rote hai zimmedaari to zimmedaari hai meri marji jahaan bhi sarf karu zindagi meri hai tumhaari hai dushmani ke hazaaro darje hai aakhiri darja rishtaadaari hai

Afkar Alvi28 Likes

Related Ghazal

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

aaiine aankh men chubhte the bistar se badan katraata tha ek yaad basar karti thii mujhe main saans nahin le paata tha ek shakhs ke haath men tha sab kuchh meraa khilna bhi murjhaana bhi rota tha to raat ujad jaati hansata tha to din ban jaata tha main rab se raabte men rehta mumkin hai ki us se raabta ho mujhe haath uthaana padte the tab jaakar vo phone uthaata tha mujhe aaj bhi yaad hai bachpan men kabhi us par nazar agar padti mere baste se phool barsate the meri takhti pe dil ban jaata tha ham ek zindaan men jinda the ham ek janjeer men badhe hue ek doosre ko dekh kar ham kabhi hansate the to rona aata tha vo jism nazarandaaz nahin ho paata tha in aankhoñ se mujrim thehrata tha apna kehne ko to ghar thehrata tha

Tehzeeb Hafi

129 likes

mujhe udaas kar ga.e ho KHush raho mire mizaaj par ga.e ho KHush raho mire li.e na ruk sake to kya hua jahaan kahiin thehar ga.e ho KHush raho khushi hui hai aaj tum ko dekh kar bahut nikhar sanwar ga.e ho KHush raho udaas ho kisi ki be-vafaaii par vafaa kahiin to kar ga.e ho KHush raho gali men aur log bhi the aashna ha men salaam kar ga.e ho KHush raho tumhein to meri dosti pe naaz tha isee se ab mukar ga.e ho KHush raho kisi ki zindagi bano ki bandagi mire li.e to mar ga.e ho KHush raho

Fazil Jamili

73 likes

dil jab khaali ho jaata hai aur bhi bhari ho jaata hai jab tu saaqi ho jaata hai ishq sharaabi ho jaata hai main jab tak kuchh tay karta hoon sab kuchh maazi ho jaata hai uske chhoote hi qismat ka taalaa chaabhi ho jaata hai pahle tu kaafi hota tha ab naakaafi ho jaata hai

Fahmi Badayuni

29 likes

mujh men kitne raaz hain batlaaoon kya band ek muddat se hooñ khul jaaun kya aajizi minnat khushamad iltijaa aur main kya kya karoon mar jaaun kya tere jalse men teraa parcham li.e saikron laashen bhi hain ginwaaoon kya kal yahaan main tha jahaan tum aaj ho main tumhaari hi tarah itraaoon kya ek patthar hai vo meri raah ka gar na thukraaoon to thokar khaaoon kya phir jagaaya tune soye she'r ko phir vahii lahjaa daraazi aaun kya

Rahat Indori

56 likes

More from Afkar Alvi

hijr men KHud ko tasalli dii kaha kuchh bhi nahin dil magar hansne laga aaya badaa kuchh bhi nahin ham agar sabr men rahte hain to kya kuchh bhi nahin jaane waalo kabhi aa dekho bacha kuchh bhi nahin be-dili yuñ hi ki rab koi maseeha bheje ham maseeha se bhi kah denge o ja kuchh bhi nahin dekhe bin ishq hua dekhe bina door huye itnaa kuchh ho bhi gaya aur hua kuchh bhi nahin saste aabid na banen lat ko ibadat na kahein aashiqi lazzat-o-zillat ke siva kuchh bhi nahin main tere baad musallii pe bahut rota raha aur kaha yaar KHuda KHair bhala kuchh bhi nahin ishq mardaana tabiyat nahin rakhta afkaar varna ye husn-o-jamaal aur ada kuchh bhi nahin

Afkar Alvi

26 likes

kaun kahtaa hai faqat khauf-e-azal deta hai zulm to zulm hai eimaan badal deta hai bebaasi mazhabi insaan banaa deti hai maan lete hain KHuda sabr ka phal deta hai vo bakheel aaj bhi daata hai bhale waqt na de main use yaad bhi kar luun to ghazal deta hai uski koshish hai ki vo apni kashish baqi rakhe mere jazbaat machalte hain to chal deta hai khaali bartan hi khanakta hai tabhi aadmi bhi ghaas mat daalo to auqaat ugal deta hai ham ko mehnat pe hi milnaa hai agar khuld men chain ye to ghar baithe-bithaaye ha men thal deta hai zehan men aur koi dukh nahin rehta afkaar jitne bal bande ko vo zulf ka bal deta hai

Afkar Alvi

10 likes

is se pahle ki tujhe aur sahaara na mile main tire saath hooñ jab tak mire jaisa na mile kam se kam badle men jannat use de dii jaaye jis mohabbat ke girftaar ko sehraa na mile log kahte hai ke ham log bure aadmi hai log bhi aise jinhone ha men dekha na mile bas yahii kah ke use maine KHuda ko saunpa ittefaakan kahii mil jaaye to rota na mile baddua hai ke vahaañ aaye jahaan baithe the aur afkaar vahaañ aapko baitha na mile

Afkar Alvi

38 likes

jo bhi izzat ke dar se dar jaa.e mat kare ishq apne ghar jaa.e baat aa jaa.e jab duao par isse behtar hai banda mar jaa.e thodii si aur der saamne rah meri aankhoñ ka pet bhar jaa.e al muhaimin ke ghar bhi khatre hai jaa.e bhi to koi kidhar jaa.e haan aqeeda agar na kaid rakhe phir to insaan kuchh bhi kar jaa.e bebaasi ki ye aakhiri had hai meri aulaad aap par jaa.e uske chehre par aaj udaasi thii haay afkaar alvee mar jaa.e

Afkar Alvi

38 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Afkar Alvi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Afkar Alvi's ghazal.