chaman pe apne bhi aaj rang-e-bahar hota to 'iid hoti gulon pe thoda hamen bhi gar ikhtiyar hota to 'iid hoti nisar-e-jan husn par koi jan-nisar hota to 'iid hoti ghhazal ankhon men halka halka khumar hota to 'iid hoti khushi men lipte hue hain matam hui hai ab 'iid bhi moharram tadap rahe hain hazar-ha ghham qarar hota to 'iid hoti ye kisht-e-be-ab qatre qatre ko dekh kab se taras rahi hai zamin-e-dil par falak zara ashk-bar hota to 'iid hoti na yuun sisaktin chaman men kaliyan na yuun dahaktin vatan men galiyan hamare kahne men shahr aur shahryar hota to 'iid hoti ravish-ravish atish-e-havadis qadam-qadam maut pal rahi hai chaman ka mausam na itna na-khushgavar hota to 'iid hoti gulon pe taaza lahu ke chhinte dilon ki dhadkan badha rahe hain jo tere va'de pe baghhban e'tibar hota to 'iid hoti agar na hijrat ka karb hota to ham bhi apnon men chahchahate vatan men bazmi tira ghharib-ud-dayar hota to 'iid hoti chaman pe apne bhi aaj rang-e-bahaar hota to 'id hoti gulon pe thoda hamein bhi gar ikhtiyar hota to 'id hoti nisar-e-jaan husn par koi jaan-nisar hota to 'id hoti ghazal aankhon mein halka halka khumar hota to 'id hoti khushi mein lipte hue hain matam hui hai ab 'id bhi moharram tadap rahe hain hazar-ha gham qarar hota to 'id hoti ye kisht-e-be-ab qatre qatre ko dekh kab se taras rahi hai zamin-e-dil par falak zara ashk-bar hota to 'id hoti na yun sisaktin chaman mein kaliyan na yun dahaktin watan mein galiyan hamare kahne mein shahr aur shahryar hota to 'id hoti rawish-rawish aatish-e-hawadis qadam-qadam maut pal rahi hai chaman ka mausam na itna na-khushgawar hota to 'id hoti gulon pe taza lahu ke chhinte dilon ki dhadkan badha rahe hain jo tere wa'de pe baghban e'tibar hota to 'id hoti agar na hijrat ka karb hota to hum bhi apnon mein chahchahate watan mein bazmi tera gharib-ud-dayar hota to 'id hoti
Related Ghazal
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
232 likes
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Sarfaraz Bazmi.
Similar Moods
More moods that pair well with Sarfaraz Bazmi's ghazal.







