chehre aur dil ki shikan ek taraf rakh diije apne logon se jalan ek taraf rakh diije ham kisi aur ta'alluq ka sahara le len aaj ki raat badan ek taraf rakh diije ye haqiqat hai kisi film ki shoting nahin dhamkiyan aur kafan ek taraf rakh diije akhri 'umr men parhez vaghhaira kaisa zindagi bhar ki ghutan ek taraf rakh diije zaat par kichad uchhalo yahi to aata hai aap mauzu'-e-sukhan ek taraf rakh diije in dinon khul ke barasta hai badan ka badal aise mausam men thakan ek taraf rakh diije chehre aur dil ki shikan ek taraf rakh dije apne logon se jalan ek taraf rakh dije hum kisi aur ta'alluq ka sahaara le len aaj ki raat badan ek taraf rakh dije ye haqiqat hai kisi film ki shooting nahin dhamkiyan aur kafan ek taraf rakh dije aakhri 'umr mein parhez waghaira kaisa zindagi bhar ki ghutan ek taraf rakh dije zat par kichad uchhaalo yahi to aata hai aap mauzu'-e-sukhan ek taraf rakh dije in dinon khul ke barasta hai badan ka baadal aise mausam mein thakan ek taraf rakh dije
Related Ghazal
mujhe udaas kar ga.e ho KHush raho mire mizaaj par ga.e ho KHush raho mire li.e na ruk sake to kya hua jahaan kahiin thehar ga.e ho KHush raho khushi hui hai aaj tum ko dekh kar bahut nikhar sanwar ga.e ho KHush raho udaas ho kisi ki be-vafaaii par vafaa kahiin to kar ga.e ho KHush raho gali men aur log bhi the aashna ha men salaam kar ga.e ho KHush raho tumhein to meri dosti pe naaz tha isee se ab mukar ga.e ho KHush raho kisi ki zindagi bano ki bandagi mire li.e to mar ga.e ho KHush raho
Fazil Jamili
73 likes
kabhi milenge to ye karz bhi utaarenge tumhaare chehre ko paharon talak nihaarenge ye kya sitam ki khilaadi badal diya usne ham is umeed pe baithe the ham hi haarenge hamaare baad tere ishq men naye ladke badan to choomenge zulfen nahin sanvaarenge
Vikram Gaur Vairagi
70 likes
vo munh lagata hai jab koi kaam hota hai jo uskaa hota hai samjho ghulaam hota hai kisi ka ho ke dobaara na aanaa meri taraf mohabbaton men halaala haraam hota hai ise bhi ginte hain ham log ahl-e-kh aanaa men hamaare yaa to shajar ka bhi naam hota hai tujh aise shaKHs ke hote hain khaas dost bahut tujh aisa shaKHs bahut jald aam hota hai kabhi lagii hai tumhein koi shaam aakhiri shaam hamaare saath ye har ek shaam hota hai
Umair Najmi
81 likes
chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon
Ali Zaryoun
105 likes
ab mere saath nahin hai samjhe naasamjhaane kii baat nahin hai samjhe naa tum maangoge aur tumhein mil jaayega pyaar hai ye khairaat nahin hai samjhe naa main baadal hooñ jis par chaahoon barsoonga meri koii zaat nahin hai samjhe naa apna khaali haath mujhe mat dikhlaao is men meraa haath nahin hai samjhe naa
Zubair Ali Tabish
66 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Tauheed Zeb.
Similar Moods
More moods that pair well with Tauheed Zeb's ghazal.







