ghazalKuch Alfaaz

dam koi dam ka hai mehman alvidaa dard-o-ghham mere dil-o-jan alvidaa aa gale mil le ki phir milna kahan al-firaq ai teghh-e-uryan alvidaa ho chuki meri pareshani ki had le ab ai zulf-e-pareshan alvidaa badh gaya saman-e-nasazi bahut assalam ai saz-o-saman alvidaa ab hamen ro baith rona ho chuka alvidaa ai chashm-e-giryan alvidaa ab kahan 'natiq' ye bad-masti kahan al-firaq ai bazm-e-rindan alvidaa dam koi dam ka hai mehman alwidaa dard-o-gham mere dil-o-jaan alwidaa aa gale mil le ki phir milna kahan al-firaq ai tegh-e-uryan alwidaa ho chuki meri pareshani ki had le ab ai zulf-e-pareshan alwidaa badh gaya saman-e-nasazi bahut assalam ai saz-o-saman alwidaa ab hamein ro baith rona ho chuka alwidaa ai chashm-e-giryan alwidaa ab kahan 'natiq' ye bad-masti kahan al-firaq ai bazm-e-rindan alwidaa

Related Ghazal

khaali baithe ho to ik kaam meraa kar do naa mujh ko achha sa koii zaKHm ada kar do naa dhyaan se panchiyo ko dete ho daana paani itne achchhe ho to pinjare se rihaa kar do naa jab qareeb aa hi ga.e ho to udaasi kaisi jab diya de hi rahe ho to jala kar do naa

Zubair Ali Tabish

102 likes

haath khaali hain tire shahar se jaate jaate jaan hoti to mirii jaan lutate jaate ab to har haath ka patthar ha men pahchaanta hai umr guzri hai tire shahar men aate jaate ab ke mayus hua yaaron ko ruksat kar ke ja rahe the to koi zakham lagaate jaate renagne ki bhi ijaazat nahin ham ko warna ham jidhar jaate naye phool khilaate jaate main to jalte hue seharaaon ka ik patthar tha tum to dariyaa the mirii pyaas bujhaate jaate mujh ko rone ka saleeqa bhi nahin hai shaayad log hanste hain mujhe dekh ke aate jaate ham se pahle bhi musaafir kaii guzre honge kam se kam raah ke patthar to hataate jaate

Rahat Indori

102 likes

kisi libaas ki khushboo jab ud ke aati hai tere badan ki judaai bahut sataati hai tere gulaab tarsate hain teri khushboo ko teri safed chameli tujhe bulaati hai tere baghair mujhe chain kaise padta hain mere bagair tujhe neend kaise aati hai

Jaun Elia

113 likes

zane haseen thii aur phool chun kar laati thii main she'r kahtaa tha vo dastaan sunaati thii arab lahu tha ragon men badan sunhara tha vo muskuraati nahin thii dii.e jalaati thii ali se door raho log usse kahte the vo meraa sach hai bahut cheekh kar bataati thii ali ye log tumhein jaante nahin hain abhii gale lagaakar meraa hausla badhaati thii ye phool dekh rahe ho ye uskaa lahjaa tha ye jheel dekh rahe ho yahaañ vo aati thii main uske baad k abhii theek se nahin jaaga vo mujh...ko khwaab nahin neend se jagati thii use kisi se mohabbat thii aur vo main nahin tha ye baat mujhse zyaada use roolaati thii main kuchh bataa nahin saka vo meri kya thii ali ki us..ko dekhkar bas apni yaad aati thii

Ali Zaryoun

102 likes

uske haathon men jo khanjar hai zyaada tez hai aur phir bachpan se hi uskaa nishaana tez hai jab kabhi us paar jaane ka khyaal aata mujhe koi aahista se kahtaa tha ki dariyaa tez hai aaj milnaa tha bichhad jaane ki niyat se ha men aaj bhi vo der se pahuncha hai kitna tez hai apna sab kuchh haar ke laut aaye ho na mere paas main tumhe kahtaa bhi rehta ki duniya tez hai aaj uske gaal choo men hain to andaaza hua chaai achchhii hai magar thoda sa meetha tez hai

Tehzeeb Hafi

220 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Natiq Gulavthi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Natiq Gulavthi's ghazal.