ghazalKuch Alfaaz

dil men aur to kya rakha hai teraa dard chhupa rakha hai itne dukhon ki tez hawa men dil ka deep jala rakha hai dhoop se chehron ne duniya men kya andher macha rakha hai is nagri ke kuchh logon ne dukh ka naam davaa rakha hai waada-e-yaar ki baat na chhedo ye dhoka bhi kha rakha hai bhool bhi jaao beetii baatein in baaton men kya rakha hai chup chup kyun rahte ho naasir ye kya rog laga rakha hai

Nasir Kazmi11 Likes

Related Ghazal

pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira

Fahmi Badayuni

96 likes

kiya baadlon men safar zindagi bhar zameen par banaya na ghar zindagi bhar sabhi zindagi ke maze lootte hainna aaya ha men ye hunar zindagi bhar mohabbat rahi chaar din zindagi men raha chaar din ka asar zindagi bhar

Anwar Shaoor

95 likes

usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge

Tehzeeb Hafi

465 likes

tamasha-e-deir-o-haram dekhte hain tujhe har bahaane se ham dekhte hain hamaari taraf ab vo kam dekhte hain vo nazrein nahin jin ko ham dekhte hain zamaane ke kya kya sitam dekhte hain humeen jaante hain jo ham dekhte hain

Dagh Dehlvi

84 likes

yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle

Anand Raj Singh

526 likes

More from Nasir Kazmi

shahar sunsaan hai kidhar jaayein KHaak ho kar kahii bikhar jaayein raat kitnii guzar gaii lekin itni himmat nahin ki ghar jaayein yoon tire dhyaan se larzata hooñ jaise patte hawa se dar jaayein un ujaalon ki dhun men firta hooñ chhab dikhaate hi jo guzar jaayein rain andheri hai aur kinaara door chaand nikle to paar utar jaayein

Nasir Kazmi

1 likes

jab zaraa tez hawa hoti hai kaisi sunsaan fazaa hoti hai ham ne dekhe hain vo sannaate bhi jab har ik saans sadaa hoti hai dil ka ye haal hua tere baad jaise veeraan sara hoti hai rona aata hai ha men bhi lekin is men tauheen-e-wafa hoti hai munh-andhere kabhi uth kar dekho kya tar o taaza hawa hoti hai ajnabi dhyaan ki har mauj ke saath kis qadar tez hawa hoti hai gham ke be-noor guzargaahon men ik kiran zauq-faza hoti hai gham-gusaar-e-safar-e-raah-e-wafa miza-e-aabla-pa hoti hai gulshan-e-fikr ki munh-band kali shab-e-mehtaab men vaa hoti hai jab nikalti hai nigaar-e-shab-e-gul munh pe shabnam ki rida hoti hai haadsa hai ki khizaan se pahle boo-e-gul gul se juda hoti hai ik naya daur janam leta hai ek tahzeeb fana hoti hai jab koi gham nahin hota naasir bekli dil ki siva hoti hai

Nasir Kazmi

2 likes

tere aane ka dhokha sa raha hai diya sa raat bhar jalta raha hai ajab hai raat se aankho ka aalam ye dariyaa raat bhar chadhta raha hai suna hai raat bhar barsa hai baadal magar vo shahar jo pyaasa raha hai vo koi dost tha achchhe dinon ka jo pichhli raat se yaad aa raha hai kise dhoondhoge in galiyon men naasir chalo ab ghar chalen din ja raha hai

Nasir Kazmi

11 likes

vo sahilon pe gaane waale kya hue vo kashtiyaañ chalaane waale kya hue vo subh aate aate rah gaii kahaan jo qafile the aane waale kya hue main un ki raah dekhta hooraat bhar vo raushni dikhaane waale kya hue ye kaun log hain mire idhar udhar vo dosti nibhaane waale kya hue vo dil men khubne waali aañkhen kya hui vo hont muskuraane waale kya hue imaaratayn to jal ke raakh ho gaiin imaaratayn banaane waale kya hue akelaa ghar se poochhti hai be-kasi tira diya jalane waale kya hue ye aap ham to bojh hain zameen ka zameen ka bojh uthaane waale kya hue

Nasir Kazmi

5 likes

musalsal bekli dil ko rahi hai magar jeene ki soorat to rahi hai main kyun firta hooñ tanhaa maara maara ye bastii chain se kyun so rahi hai chale dil se ummeedon ke musaafir ye nagri aaj khaali ho rahi hai na samjho tum ise shor-e-bahaaraan khizaan patton men chhup kar ro rahi hai hamaare ghar ki deewaron pe naasir udaasi baal khole so rahi hai

Nasir Kazmi

2 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Nasir Kazmi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Nasir Kazmi's ghazal.