ghazalKuch Alfaaz

dil soz se khali hai nigah paak nahin hai phir is men ajab kya ki tu bebak nahin hai hai zauq-e-tajalli bhi isi khaak men pinhan ghhafil tu nira sahib-e-idrak nahin hai vo aankh ki hai surma-e-afrang se raushan purkar o sukhan-saz hai namnak nahin hai kya suufi o mulla ko khabar mere junun ki un ka sar-e-daman bhi abhi chaak nahin hai kab tak rahe mahkumi-e-anjum men miri khaak ya main nahin ya gardish-e-aflak nahin hai bijli huun nazar koh o bayaban pe hai meri mere liye shayan khas-o-khashak nahin hai aalam hai faqat momin-e-jan-baz ki miras momin nahin jo sahib-e-laulak nahin hai dil soz se khali hai nigah pak nahin hai phir is mein ajab kya ki tu bebak nahin hai hai zauq-e-tajalli bhi isi khak mein pinhan ghafil tu nira sahib-e-idrak nahin hai wo aankh ki hai surma-e-afrang se raushan purkar o sukhan-saz hai namnak nahin hai kya sufi o mulla ko khabar mere junun ki un ka sar-e-daman bhi abhi chaak nahin hai kab tak rahe mahkumi-e-anjum mein meri khak ya main nahin ya gardish-e-aflak nahin hai bijli hun nazar koh o bayaban pe hai meri mere liye shayan khas-o-khashak nahin hai aalam hai faqat momin-e-jaan-baz ki miras momin nahin jo sahib-e-laulak nahin hai

Related Ghazal

yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle

Anand Raj Singh

526 likes

usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge

Tehzeeb Hafi

465 likes

chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf

Varun Anand

406 likes

ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikaayat hai nahin to hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko bhula dene ki niyat hai nahin to kisi ke bin kisi ki yaad ke bin ji.e jaane ki himmat hai nahin to kisi soorat bhi dil lagta nahin haan to kuchh din se ye haalaat hai nahin to tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha vo ek jaati si vehshat hai nahin to tere is haal par hai sab ko hairat tujhe bhi is pe hairat hai nahin to ham-aahangi nahin duniya se teri tujhe is par nadaamat hai nahin to vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu yah daulat us ki qeemat hai nahin to hua jo kuchh yahii maqsoom tha kya yahii saari hikaayat hai nahin to aziyat-naak ummeedon se tujhko aman paane ki hasrat hai nahin to tu rehta hai khayaal-o-khvaab men gam to is wajah se fursat hai nahin to wahaan waalon se hai itni mohabbat yahaan waalon se nafrat hai nahin to sabab jo is judaai ka banaa hai vo mujhse khubsoorat hai nahin to

Jaun Elia

355 likes

mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta

Tehzeeb Hafi

456 likes

More from Allama Iqbal

har shay musaafir har cheez raahi kya chaand taare kya murgh o maahi tu mard-e-maidaan tu meer-e-lashkar noori huzoori tere sipaahi kuchh qadr apni tu ne na jaani ye be-swaa dii ye kam-nigaahi duniya-e-doo ki kab tak ghulaami ya rahebi kar ya paadshaahi peer-e-haram ko dekha hai main ne kirdaar-e-be-soz guftaar waahi

Allama Iqbal

4 likes

dil soz se khaali hai nigah paak nahin hai phir is men ajab kya ki tu bebaak nahin hai hai zauq-e-tajalli bhi isee KHaak men pinhaan ghaafil tu nira sahib-e-idraak nahin hai vo aankh ki hai surma-e-afrang se raushan purkaar o suhkan-saaz hai namnaak nahin hai kya sufi o mulla ko khabar mere junoon ki un ka sar-e-daaman bhi abhii chaak nahin hai kab tak rahe mahkoomi-e-anjum men mirii KHaak ya main nahin ya gardish-e-aflaak nahin hai bijli hooñ nazar koh o biyaabaan pe hai mirii mere li.e shaayaan khas-o-khaashaak nahin hai aalam hai faqat momin-e-jaanbaaz ki meeraas mumin nahin jo sahib-e-laulaak nahin hai

Allama Iqbal

1 likes

sakhtiyan karta hooñ dil par gair se ghaafil hooñ main haaye kya achchhii kahii zalim hooñ main jaahil hooñ main main jabhi tak tha ki teri jalwa-pairaai na thii jo numood-e-haq se mit jaata hai vo baatil hooñ main ilm ke dariyaa se nikle ghota-zan gauhar-b-dast waaye mehroomi khazaf chain lab saahil hooñ main hai mirii zillat hi kuchh mirii sharaafat ki daleel jis ki ghaflat ko malak rote hain vo ghaafil hooñ main bazm-e-hasti apni aaraish pe tu naazaan na ho tu to ik tasveer hai mehfil ki aur mehfil hooñ main dhoondhta firta hooñ main iqbaal apne-aap ko aap hi goya musaafir aap hi manzil hooñ main

Allama Iqbal

0 likes

na aate ha men is men takraar kya thii magar vaa'da karte hue aar kya thii tumhaare payaami ne sab raaz khola KHataa is men bande ki sarkaar kya thii bharii bazm men apne 'aashiq ko taada tiri aankh masti men hushyaar kya thii taammul to tha un ko aane men qaasid magar ye bataa tarz-e-inkaar kya thii khinche khud-bakhud jaanib-e-toor moosa kashish teri ai shauq-e-deedaar. kya thii kahii zikr rehta hai iqbaal teraa fusoon tha koi teri guftaar kya thii

Allama Iqbal

2 likes

asar kare na kare sun to le mirii fariyaad nahin hai daad ka taalib ye banda-e-aazaad ye musht-e-khaak ye sarsar ye wusa'at-e-aflaak karam hai ya ki sitam teri lazzat-e-eijaad thehar sakaa na hawa-e-chaman men khema-e-gul yahii hai fasl-e-bahaari yahii hai baad-e-muraad qusoor-waar ghareeb-ud-dayaar hooñ lekin tira kharaabaa farishte na kar sake aabaad mirii jafa-talbi ko duaaein deta hai vo dasht-e-saada vo teraa jahaan-e-be-buniyaad khatr-pasand tabeeyat ko saazgaar nahin vo gulsitaan ki jahaan ghaat men na ho sayyaad maqaam-e-shauq tire qudsiyon ke bas ka nahin unhin ka kaam hai ye jin ke hausale hain ziyaad

Allama Iqbal

5 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Allama Iqbal.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Allama Iqbal's ghazal.