dilon pe zakhm laga ke hazar guzri bahar gai hai chhod ke ik yadgar guzri bahar mire qarib jo koi gul-e-badan mahka to aai yaad koi khush-gavar guzri bahar kisi tarah mujhe pagal na kar saki varna tire baghhair bhi aai bahar guzri bahar har ek sarv-e-ravan par guman ki jaise vahi ho mera maazi miri yadgar guzri bahar mire nasib ka nauha khizan ye ahd-e-khizan tire karam ka fasana bahar guzri bahar dilon pe zakhm laga ke hazar guzri bahaar gai hai chhod ke ek yaadgar guzri bahaar mere qarib jo koi gul-e-badan mahka to aai yaad koi khush-gawar guzri bahaar kisi tarah mujhe pagal na kar saki warna tere baghair bhi aai bahaar guzri bahaar har ek sarw-e-rawan par guman ki jaise wahi ho mera mazi meri yaadgar guzri bahaar mere nasib ka nauha khizan ye ahd-e-khizan tere karam ka fasana bahaar guzri bahaar
Related Ghazal
thoda likkha aur ziyaada chhod diya aane waalon ke li.e rastaa chhod diya tum kya jaano us dariyaa par kya guzri tumne to bas paani bharna chhod diya ladkiyaan ishq men kitnii paagal hoti hain phone baja aur choolha jalta chhod diya roz ik patta mujh men aa girta hai jab se maine jungle jaana chhod diya bas kaanon par haath rakhe the thodii der aur phir us aawaaz ne peecha chhod diye
Tehzeeb Hafi
262 likes
zane haseen thii aur phool chun kar laati thii main she'r kahtaa tha vo dastaan sunaati thii arab lahu tha ragon men badan sunhara tha vo muskuraati nahin thii dii.e jalaati thii ali se door raho log usse kahte the vo meraa sach hai bahut cheekh kar bataati thii ali ye log tumhein jaante nahin hain abhii gale lagaakar meraa hausla badhaati thii ye phool dekh rahe ho ye uskaa lahjaa tha ye jheel dekh rahe ho yahaañ vo aati thii main uske baad k abhii theek se nahin jaaga vo mujh...ko khwaab nahin neend se jagati thii use kisi se mohabbat thii aur vo main nahin tha ye baat mujhse zyaada use roolaati thii main kuchh bataa nahin saka vo meri kya thii ali ki us..ko dekhkar bas apni yaad aati thii
Ali Zaryoun
102 likes
chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf
Varun Anand
406 likes
teri mushkil na badaaunga chala jaaunga ashk aankhoñ men chhupaaunga chala jaaunga apni dahleez pe kuchh der pada rahne de jaise hi hosh men aaunga chala jaaunga KHvaab lene koi aa.e ki na aa.e koi main to awaaz lagaauñga chala jaaunga chand yaaden mujhe bacchon ki tarah pyaari hain unko seene se lagaauñga chala jaaunga muddaton baad main aaya hooñ purane ghar men KHud ko jee bhar ke rulaaunga chala jaaunga is jazeera men ziyaada nahin rahna ab to aajkal naav banaoonga chala jaaunga mausam-e-gul ki tarah laut ke aaunga hasan har taraf phool khilaaoonga chala jaaunga
Hasan Abbasi
235 likes
bichadkar uskaa dil lag bhi gaya to kya lagega vo thak jayega aur mere gale se aa lagega main mushkil men tumhaare kaam aaun ya na aaun mujhe awaaz de lena tumhein achha lagega main jis koshish se us..ko bhool jaane men laga hooñ zyaada bhi agar lag jaaye to hafta lagega
Tehzeeb Hafi
174 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Ahmad Masoom.
Similar Moods
More moods that pair well with Ahmad Masoom's ghazal.







