ghazalKuch Alfaaz

duur kyuun jaun yahin jalva-numa baitha hai dil mira arsh hai aur us pe khuda baitha hai but-kade men tire jalve ne tarashe patthar jis ne dekha yahi jaana ki khuda baitha hai kya hue aankh ke parde jo pade the ab tak barmala hashr men kyuun aaj khuda baitha hai naqsh-e-vahdat hi suvaida ko kaha karte hain dil men ik til hai aur us til men khuda baitha hai main jo kahta huun ki kaabe ko na barbad karo hans ke but kahte hain kya dil men khuda baitha hai asman main tiri gardish se nahin darta huun tujh ko kis baat ka ghham sar pe khuda baitha hai chashm-e-vahdat se jo insan zara ghhaur kare jis ko dekhe yahi samjhe ki khuda baitha hai apne marne ka zara ghham na karo tum 'muztar' yuun samajh lo ki jilane ko khuda baitha hai dur kyun jaun yahin jalwa-numa baitha hai dil mera arsh hai aur us pe khuda baitha hai but-kade mein tere jalwe ne tarashe patthar jis ne dekha yahi jaana ki khuda baitha hai kya hue aankh ke parde jo pade the ab tak barmala hashr mein kyun aaj khuda baitha hai naqsh-e-wahdat hi suwaida ko kaha karte hain dil mein ek til hai aur us til mein khuda baitha hai main jo kahta hun ki kabe ko na barbaad karo hans ke but kahte hain kya dil mein khuda baitha hai aasman main teri gardish se nahin darta hun tujh ko kis baat ka gham sar pe khuda baitha hai chashm-e-wahdat se jo insan zara ghaur kare jis ko dekhe yahi samjhe ki khuda baitha hai apne marne ka zara gham na karo tum 'muztar' yun samajh lo ki jilane ko khuda baitha hai

Related Ghazal

kya ghalatfahmi men rah jaane ka sadma kuchh nahin vo mujhe samjha to saka tha ki aisa kuchh nahin ishq se bach kar bhi banda kuchh nahin hota magar ye bhi sach hai ishq men bande ka bachta kuchh nahin jaane kaise raaz seene men li.e baitha hai vo zahr kha leta hai par munh se ugalta kuchh nahin shukr hai ki usne mujhse kah diya ki kuchh to hai main usse kehne hi vaala tha ki achha kuchh nahin

Tehzeeb Hafi

105 likes

ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikaayat hai nahin to hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko bhula dene ki niyat hai nahin to kisi ke bin kisi ki yaad ke bin ji.e jaane ki himmat hai nahin to kisi soorat bhi dil lagta nahin haan to kuchh din se ye haalaat hai nahin to tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha vo ek jaati si vehshat hai nahin to tere is haal par hai sab ko hairat tujhe bhi is pe hairat hai nahin to ham-aahangi nahin duniya se teri tujhe is par nadaamat hai nahin to vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu yah daulat us ki qeemat hai nahin to hua jo kuchh yahii maqsoom tha kya yahii saari hikaayat hai nahin to aziyat-naak ummeedon se tujhko aman paane ki hasrat hai nahin to tu rehta hai khayaal-o-khvaab men gam to is wajah se fursat hai nahin to wahaan waalon se hai itni mohabbat yahaan waalon se nafrat hai nahin to sabab jo is judaai ka banaa hai vo mujhse khubsoorat hai nahin to

Jaun Elia

355 likes

tum haqeeqat nahin ho hasrat ho jo mile KHvaab men vo daulat ho tum ho KHushboo ke KHvaab ki KHushboo aur itne hi bemuravvat ho kis tarah chhod doon tumhein jaanaan tum meri zindagi ki aadat ho kislie dekhte ho aaina tum to KHud se bhi khoobsurat ho dastaan khatm hone waali hai tum meri aakhiri muhabbat ho

Jaun Elia

315 likes

jis shaam us..ko train men baitha ke aaya tha main us..ko uske pyaar se milva ke aaya tha uski basi basaai main duniya ujaad kar jo kha nahin sakaa use faila ke aaya tha mere naseeb men kahii baitha tumhaara dukh lagta tha jaise maa ki qasam kha ke aaya tha

Kushal Dauneria

26 likes

tumhaara hijr manaa luun agar ijaazat ho main dil kisi se laga luun agar ijaazat ho tumhaare baad bhala kya hain waada-o-paimaan bas apna waqt ganwa luun agar ijaazat ho tumhaare hijr ki shab haaye car men jaanaan koi chiraag jala luun agar ijaazat ho junoon vahii hai vahii hai magar hai shahar naya yahaañ bhi shor macha luun agar ijaazat ho kise hai khwaahish-e-marham gari magar phir bhi main apne zakham dikha luun agar ijaazat ho tumhaare yaad men jeene ki aarzoo hai abhii kuchh apna haal sambhaaloon agar ijaazat ho

Jaun Elia

45 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Muztar Khairabadi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Muztar Khairabadi's ghazal.