ghazalKuch Alfaaz

duur rah kar na karo baat qarib aa jaao yaad rah jaegi ye raat qarib aa jaao ek muddat se tamanna thi tumhen chhune ki aaj bas men nahin jazbat qarib aa jaao sard jhonkon se bhadakte hain badan men shoale jaan le legi ye barsat qarib aa jaao is qadar ham se jhijakne ki zarurat kya hai zindagi bhar ka hai ab saath qarib aa jaao dur rah kar na karo baat qarib aa jao yaad rah jaegi ye raat qarib aa jao ek muddat se tamanna thi tumhein chhune ki aaj bas mein nahin jazbaat qarib aa jao sard jhonkon se bhadakte hain badan mein shoale jaan le legi ye barsat qarib aa jao is qadar hum se jhijakne ki zarurat kya hai zindagi bhar ka hai ab sath qarib aa jao

Related Ghazal

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

kya ghalatfahmi men rah jaane ka sadma kuchh nahin vo mujhe samjha to saka tha ki aisa kuchh nahin ishq se bach kar bhi banda kuchh nahin hota magar ye bhi sach hai ishq men bande ka bachta kuchh nahin jaane kaise raaz seene men li.e baitha hai vo zahr kha leta hai par munh se ugalta kuchh nahin shukr hai ki usne mujhse kah diya ki kuchh to hai main usse kehne hi vaala tha ki achha kuchh nahin

Tehzeeb Hafi

105 likes

baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

Rehman Faris

196 likes

zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de

Rahat Indori

190 likes

paagal kaise ho jaate hain dekho aise ho jaate hain KHvaabon ka dhanda karti ho kitne paise ho jaate hain duniya sa hona mushkil hai tere jaise ho jaate hain mere kaam KHuda karta hai tere vaise ho jaate hain

Ali Zaryoun

158 likes

More from Sahir Ludhianvi

fan jo nadaar tak nahin pahuncha abhii meyaar tak nahin pahuncha us ne bar-waqt be-rukhi barti shauq aazaar tak nahin pahuncha aks-e-may ho ki jalwa-e-gul ho rang-e-rukhsaar tak nahin pahuncha harf-e-inkaar sar buland raha zoof-e-iqraar tak nahin pahuncha hukm-e-sarkaar kii pahunch mat pooch ahl-e-sarkaar tak nahin pahuncha adl-gaahen to door kii shay hain qatl akhbaar tak nahin pahuncha inqilaabaat-e-dahr kii buniyaad haq jo haqdaar tak nahin pahuncha vo maseeha-nafs nahin jis ka silsila-daar tak nahin pahuncha

Sahir Ludhianvi

2 likes

mohabbat tark ki main ne garebaan si liya main ne zamaane ab to KHush ho zahar ye bhi pee liya main ne abhii zinda hooñ lekin sochta rehta hooñ khilwat men ki ab tak kis tamannaa ke sahaare jee liya main ne unhen apna nahin saka magar itnaa bhi kya kam hai ki kuchh muddat haseen KHvaabon men kho kar jee liya main ne bas ab to daaman-e-dil chhod do bekar umeedo bahut dukh sah li.e main ne bahut din jee liya main ne

Sahir Ludhianvi

0 likes

dekha hai zindagi ko kuchh itne qareeb se chehre tamaam lagne lage hain ajeeb se ai rooh-e-asr jaag kahaan so rahi hai tu awaaz de rahe hain payambar saleeb se is rengti hayaat ka kab tak uthaaye baar beemaar ab uljhane lage hain tabeeb se har gaam par hai majma-e-ushshaq muntazir maqtal ki raah milti hai koo-e-habeeb se is tarah zindagi ne diya hai hamaara saath jaise koi nibaah raha ho raqeeb se

Sahir Ludhianvi

3 likes

dekha hai zindagi ko kuchh itnaa qareeb se chehre tamaam lagne lage hain ajeeb se kehne ko dil ki baat jinhen dhoondte the ham mehfil men aa ga.e hain vo apne naseeb se neelaam ho raha tha kisi naazneen ka pyaar qeemat nahin chukaai gaii ik gareeb se teri vafaa ki laash pe la main hi daal doon resham ka ye kafan jo mila hai raqeeb se

Sahir Ludhianvi

5 likes

jurm-e-ulfat pe ha men log saza dete hain kaise naadaan hain sholon ko hawa dete hain ham se deewane kahii tark-e-wafa karte hain jaan jaa.e ki rahe baat nibha dete hain aap daulat ke taraazu men dilon ko taulein ham mohabbat se mohabbat ka sila dete hain takht kya cheez hai aur laal-o-jawaahar kya hain ishq waale to khudaai bhi luta dete hain ham ne dil de bhi diya ahad-e-wafaa le bhi liya aap ab shauq se de len jo saza dete hain

Sahir Ludhianvi

3 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Sahir Ludhianvi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Sahir Ludhianvi's ghazal.