ek sitam aur laakh adaen uf ri javani haae zamane tirchhi nigahen tang qabaen uf ri javani haae zamane hijr men apna aur hai aalam abr-e-baharan dida-e-pur-nam zid ki hamen vo aap bulaen uf ri javani haae zamane apni ada se aap jhijakna apni hava se aap khatakna chaal men laghhzish munh pe hayaen uf ri javani haae zamane haath men aadi teghh pakadna taaki lage bhi zakhm to ochha qasd ki phir ji bhar ke sataen uf ri javani haae zamane kaali ghataen baaghh men jhule dhani dupatte lat jhatkae mujh pe ye qadghhan aap na aaen uf ri javani haae zamane pichhle pahar uth uth ke namazen naak ragadni sajdon pe sajde jo nahin jaaez us ki duaen uf ri javani haae zamane 'shad' na vo didar-parasti aur na vo be-nashsha ki masti tujh ko kahan se dhundh ke laaen uf ri javani haae zamane ek sitam aur lakh adaen uf ri jawani hae zamane tirchhi nigahen tang qabaen uf ri jawani hae zamane hijr mein apna aur hai aalam abr-e-bahaaran dida-e-pur-nam zid ki hamein wo aap bulaen uf ri jawani hae zamane apni ada se aap jhijakna apni hawa se aap khatakna chaal mein laghzish munh pe hayaen uf ri jawani hae zamane hath mein aadi tegh pakadna taki lage bhi zakhm to ochha qasd ki phir ji bhar ke sataen uf ri jawani hae zamane kali ghataen bagh mein jhule dhani dupatte lat jhatkae mujh pe ye qadghan aap na aaen uf ri jawani hae zamane pichhle pahar uth uth ke namazen nak ragadni sajdon pe sajde jo nahin jaez us ki duaen uf ri jawani hae zamane 'shad' na wo didar-parasti aur na wo be-nashsha ki masti tujh ko kahan se dhundh ke laen uf ri jawani hae zamane
Related Ghazal
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
usoolon pe jahaan aanch aa.e takr aanaa zaroori hai jo zinda hon to phir zinda nazar aanaa zaroori hai nayi umron ki khudmukhtaariyon ko kaun samjh aa.e kahaan se bach ke chalna hai kahaan j aanaa zaroori hai thake haare parinde jab basere ke liye lautain saleeqamand shaakhon ka lachak j aanaa zaroori hai bahut bebaak aankhoñ men talluq tik nahin paata muhabbat men kashish rakhne ko sharm aanaa zaroori hai saleeqa hi nahin shaayad use mehsoos karne ka jo kahtaa hai KHuda hai to nazar aanaa zaroori hai mere honthon pe apni pyaas rakh do aur phir socho ki iske baad bhi duniya men kuchh p aanaa zaroori hai
Waseem Barelvi
107 likes
ye maine kab kaha ki mere haq men faisla kare agar vo mujh se KHush nahin hai to mujhe juda kare main uske saath jis tarah guzaarta hooñ zindagi use to chahiye ki meraa shukriya ada kare meri dua hai aur ik tarah se baddua bhi hai KHuda tumhein tumhaare jaisi betiyaan ata kare banaa chuka hooñ main mohabbaton ke dard ki davaa agar kisi ko chahiye to mujhse raabta kare
Tehzeeb Hafi
292 likes
ab mere saath nahin hai samjhe naasamjhaane kii baat nahin hai samjhe naa tum maangoge aur tumhein mil jaayega pyaar hai ye khairaat nahin hai samjhe naa main baadal hooñ jis par chaahoon barsoonga meri koii zaat nahin hai samjhe naa apna khaali haath mujhe mat dikhlaao is men meraa haath nahin hai samjhe naa
Zubair Ali Tabish
66 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Shad Azimabadi.
Similar Moods
More moods that pair well with Shad Azimabadi's ghazal.







