faza nahin hai abhi saz-gar thahro zara main keh raha huun naan ruk jaao yaar thahro zara ye log lahje ki narmi ko dar samajhte hain mire halim mire ba-vaqar thahro zara sarakne vaale hain makr-o-fareb ke parde utarne vaala hai saara khumar thahro zara suno na dil karo chhota nikalne do suraj rafiq-e-man shajar-e-saya-dar thahro zara abhi to us ne jhatakni hai zulf shane se 'uruj baaqi hai manzar-nigar thahro zara muzakarat abhi chal rahe hain lahron se main sun raha huun tumhari pukar thahro zara bichhadte vaqt mira haath thaam kar 'nazir' vo keh raha tha mujhe baar baar thahro zara faza nahin hai abhi saz-gar thahro zara main keh raha hun nan ruk jao yar thahro zara ye log lahje ki narmi ko dar samajhte hain mere halim mere ba-waqar thahro zara sarakne wale hain makr-o-fareb ke parde utarne wala hai sara khumar thahro zara suno na dil karo chhota nikalne do suraj rafiq-e-man shajar-e-saya-dar thahro zara abhi to us ne jhatakni hai zulf shane se 'uruj baqi hai manzar-nigar thahro zara muzakaraat abhi chal rahe hain lahron se main sun raha hun tumhaari pukar thahro zara bichhadte waqt mera hath tham kar 'nazir' wo keh raha tha mujhe bar bar thahro zara
Related Ghazal
usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge
Tehzeeb Hafi
465 likes
mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta
Tehzeeb Hafi
456 likes
chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon
Ali Zaryoun
105 likes
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Usman Naazir.
Similar Moods
More moods that pair well with Usman Naazir's ghazal.







