ghazalKuch Alfaaz

gale mujh ko laga lo ai mire dildar holi men bujhe dil ki lagi bhi to ai mere yaar holi men nahin ye hai gulal-e-surkh udta har jagah pyare ye ashiq ki hai umdi ah-e-atish-bar holi men gulabi gaal par kuchh rang mujh ko bhi jamane do manane do mujhe bhi jan-e-man tyauhar holi men 'rasa' gar jam-e-mai ghhairon ko dete ho to mujh ko bhi nashili aankh dikhla kar karo sarshar holi men gale mujh ko laga lo ai mere dildar holi mein bujhe dil ki lagi bhi to ai mere yar holi mein nahin ye hai gulal-e-surkh udta har jagah pyare ye aashiq ki hai umdi aah-e-atish-bar holi mein gulabi gal par kuchh rang mujh ko bhi jamane do manane do mujhe bhi jaan-e-man tyauhaar holi mein 'rasa' gar jam-e-mai ghairon ko dete ho to mujh ko bhi nashili aankh dikhla kar karo sarshaar holi mein

Related Ghazal

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de

Rahat Indori

190 likes

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

ham ne kab chaaha ki vo shaKHs hamaara ho jaa.e itnaa dik jaa.e ki aankhoñ ka guzaara ho jaa.e ham jise paas bitha len vo bichhad jaata hai tum jise haath laga do vo tumhaara ho jaa.e tum ko lagta hai ki tum jeet ga.e ho mujh se hai yahii baat to phir khel dubara ho jaa.e hai mohabbat bhi ajab tarz-e-tijaarat ki yahaañ har dukaan-daar ye chahe ki khasaara ho jaa.e

Yasir Khan

92 likes

khaali baithe ho to ik kaam meraa kar do naa mujh ko achha sa koii zaKHm ada kar do naa dhyaan se panchiyo ko dete ho daana paani itne achchhe ho to pinjare se rihaa kar do naa jab qareeb aa hi ga.e ho to udaasi kaisi jab diya de hi rahe ho to jala kar do naa

Zubair Ali Tabish

102 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Bhartendu Harishchandra.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Bhartendu Harishchandra's ghazal.