ghham diye hain to masarrat ke guhar bhi dena ai khuda tu mujhe jiine ka hunar bhi dena hakim-e-vaqt ye hijrat mujhe manzur magar dam-e-rukhsat mujhe saman-e-safar bhi dena ai shab-o-roz ke malik mujhe is duniya men lailatul-qadr ki manind sahar bhi dena sun zara ghhaur se sun ai shajar-e-saya-fagan jab tire saae men pahunchun to samar bhi dena lafz niklen jo zaban se to dilon tak pahunchen meri taqrir men kuchh aisa asar bhi dena tere altaf-o-karam ki hai bahar-su shohrat mal-o-zar dega hi to laal-o-gohar bhi dena tu jo shamshir-ba-kaf ho to main sar pesh karun jo hain dil vaale unhen aata hai sar bhi dena bakhshne vaale zamane ko jamal-e-har-rang jo tujhe dekh sake aisi nazar bhi dena le chala main tiri jannat se bayaban ki taraf sar chhupane ko vahan tu mujhe ghar bhi dena harf aa jaae na tujh par kahin kam-zarfi ka daman-e-'shams' ko tu dida-e-tar bhi dena gham diye hain to masarrat ke guhar bhi dena ai khuda tu mujhe jine ka hunar bhi dena hakim-e-waqt ye hijrat mujhe manzur magar dam-e-rukhsat mujhe saman-e-safar bhi dena ai shab-o-roz ke malik mujhe is duniya mein lailatul-qadr ki manind sahar bhi dena sun zara ghaur se sun ai shajar-e-saya-fagan jab tere sae mein pahunchun to samar bhi dena lafz niklen jo zaban se to dilon tak pahunchen meri taqrir mein kuchh aisa asar bhi dena tere altaf-o-karam ki hai bahar-su shohrat mal-o-zar dega hi to lal-o-gohar bhi dena tu jo shamshir-ba-kaf ho to main sar pesh karun jo hain dil wale unhen aata hai sar bhi dena bakhshne wale zamane ko jamal-e-har-rang jo tujhe dekh sake aisi nazar bhi dena le chala main teri jannat se bayaban ki taraf sar chhupane ko wahan tu mujhe ghar bhi dena harf aa jae na tujh par kahin kam-zarfi ka daman-e-'shams' ko tu dida-e-tar bhi dena
Related Ghazal
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge
Zubair Ali Tabish
140 likes
paagal kaise ho jaate hain dekho aise ho jaate hain KHvaabon ka dhanda karti ho kitne paise ho jaate hain duniya sa hona mushkil hai tere jaise ho jaate hain mere kaam KHuda karta hai tere vaise ho jaate hain
Ali Zaryoun
158 likes
haath khaali hain tire shahar se jaate jaate jaan hoti to mirii jaan lutate jaate ab to har haath ka patthar ha men pahchaanta hai umr guzri hai tire shahar men aate jaate ab ke mayus hua yaaron ko ruksat kar ke ja rahe the to koi zakham lagaate jaate renagne ki bhi ijaazat nahin ham ko warna ham jidhar jaate naye phool khilaate jaate main to jalte hue seharaaon ka ik patthar tha tum to dariyaa the mirii pyaas bujhaate jaate mujh ko rone ka saleeqa bhi nahin hai shaayad log hanste hain mujhe dekh ke aate jaate ham se pahle bhi musaafir kaii guzre honge kam se kam raah ke patthar to hataate jaate
Rahat Indori
102 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Shams Ramzi.
Similar Moods
More moods that pair well with Shams Ramzi's ghazal.







