ghham-ha-e-mohabbat ka asar dekh raha huun bikhre hue daman pe guhar dekh raha huun ai husn-e-rukh-e-yar jidhar dekh raha huun ik hasb-e-takhayyul o nazar dekh raha huun ik nuur ki duniya hai miri shauq ki manzil har zarre ko khurshid-e-nazar dekh raha huun tum aur abhi husn ke pardon ko uthao main aaj had-e-tab-e-nazar dekh raha huun har aah sharar-khez hai murghhan-e-qafas ki daman-e-fughhan shoala-asar dekh raha huun yuun kakul-o-rukh apne tasavvur men hain 'jumbish' ik marhala-e-sham-o-sahar dekh raha huun gham-ha-e-mohabbat ka asar dekh raha hun bikhre hue daman pe guhar dekh raha hun ai husn-e-rukh-e-yar jidhar dekh raha hun ek hasb-e-takhayyul o nazar dekh raha hun ek nur ki duniya hai meri shauq ki manzil har zarre ko khurshid-e-nazar dekh raha hun tum aur abhi husn ke pardon ko uthao main aaj had-e-tab-e-nazar dekh raha hun har aah sharar-khez hai murghan-e-qafas ki daman-e-fughan shoala-asar dekh raha hun yun kakul-o-rukh apne tasawwur mein hain 'jumbish' ek marhala-e-sham-o-sahar dekh raha hun
Related Ghazal
paagal kaise ho jaate hain dekho aise ho jaate hain KHvaabon ka dhanda karti ho kitne paise ho jaate hain duniya sa hona mushkil hai tere jaise ho jaate hain mere kaam KHuda karta hai tere vaise ho jaate hain
Ali Zaryoun
158 likes
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
232 likes
aaiine aankh men chubhte the bistar se badan katraata tha ek yaad basar karti thii mujhe main saans nahin le paata tha ek shakhs ke haath men tha sab kuchh meraa khilna bhi murjhaana bhi rota tha to raat ujad jaati hansata tha to din ban jaata tha main rab se raabte men rehta mumkin hai ki us se raabta ho mujhe haath uthaana padte the tab jaakar vo phone uthaata tha mujhe aaj bhi yaad hai bachpan men kabhi us par nazar agar padti mere baste se phool barsate the meri takhti pe dil ban jaata tha ham ek zindaan men jinda the ham ek janjeer men badhe hue ek doosre ko dekh kar ham kabhi hansate the to rona aata tha vo jism nazarandaaz nahin ho paata tha in aankhoñ se mujrim thehrata tha apna kehne ko to ghar thehrata tha
Tehzeeb Hafi
129 likes
mujhe udaas kar ga.e ho KHush raho mire mizaaj par ga.e ho KHush raho mire li.e na ruk sake to kya hua jahaan kahiin thehar ga.e ho KHush raho khushi hui hai aaj tum ko dekh kar bahut nikhar sanwar ga.e ho KHush raho udaas ho kisi ki be-vafaaii par vafaa kahiin to kar ga.e ho KHush raho gali men aur log bhi the aashna ha men salaam kar ga.e ho KHush raho tumhein to meri dosti pe naaz tha isee se ab mukar ga.e ho KHush raho kisi ki zindagi bano ki bandagi mire li.e to mar ga.e ho KHush raho
Fazil Jamili
73 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Jumbish Khairabadi.
Similar Moods
More moods that pair well with Jumbish Khairabadi's ghazal.







