ghazalKuch Alfaaz

ghazal ka husn hai aur geet ka shabaab hai vo nasha hai jis men sukhun ka vahii sharaab hai vo use na dekh mahakta hua gulaab hai vona jaane kitnii nigaahon ka intikhaab hai vo misaal mil na saki kaayenaat men us ki javaab us ka nahin koi la-jawaab hai vo mirii in aankhoñ ko taabeer mil nahin paati jise main dekhta rehta hooñ aisa KHvaab hai vo na jaane kitne hijaabo men vo chhupa hai magar nigaah-e-dil se jo dekhooñ to be-hijaab hai vo ujaale apne luta kar vo doob jaayega haseen subh ka rakhshanda aftaab hai vo vo mujh se poochne aaya hai meraa haal afzal jise bataa na sakoon dil men iztiraab hai vo

Related Ghazal

phir mirii yaad aa rahi hogii phir vo deepak bujha rahi hogii phir mire facebook pe aa kar vo KHud ko banner banaa rahi hogii apne bete ka choom kar maatha mujh ko teeka laga rahi hogii phir usii ne use chhua hogaa phir usii se nibha rahi hogii jism chadar sa bich gaya hogaa rooh silvat hata rahi hogii phir se ik raat kat gaii hogii phir se ik raat aa rahi hogii

Kumar Vishwas

53 likes

chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon

Ali Zaryoun

105 likes

sabne dil se use utaara tha vo mari kab thii us..ko maara tha pairo'n men girke jeeta tha jis..ko us..ko paane men KHudko haara tha tere mere men bat gaya sabkuchh ek taaim tha sab hamaara tha uski yaadon men dil jale hai ab jiska chehra nahin gawara tha maine vo khoya jo meraa nahin tha tumne vo khoya jo tumhaara tha jeet sakaa tha usse main kaatib par bade hausale se haara tha

Himanshi babra KATIB

43 likes

ham ne kab chaaha ki vo shaKHs hamaara ho jaa.e itnaa dik jaa.e ki aankhoñ ka guzaara ho jaa.e ham jise paas bitha len vo bichhad jaata hai tum jise haath laga do vo tumhaara ho jaa.e tum ko lagta hai ki tum jeet ga.e ho mujh se hai yahii baat to phir khel dubara ho jaa.e hai mohabbat bhi ajab tarz-e-tijaarat ki yahaañ har dukaan-daar ye chahe ki khasaara ho jaa.e

Yasir Khan

92 likes

teraa chup rahna mere zehan men kya baith gaya itni aawaazen tujhe deen ki gala baith gaya yuñ nahin hai ki faqat main hi use chahta hooñ jo bhi us ped ki chaanv men gaya baith gaya itnaa meetha tha vo ghusse bhara lahjaa mat poochus ne jis ko bhi jaane ka kaha baith gaya apna ladna bhi mohabbat hai tumhein ilm nahin cheeKHtii tum rahi aur meraa gala baith gaya us ki marzi vo jise paas bitha le apne is pe kya ladna fulan meri jagah baith gaya baat daryaon ki suraj ki na teri hai yahaañ do qadam jo bhi mere saath chala baith gaya bazm-e-jaanan men nashisten nahin hoti makhsoos jo bhi ik baar jahaan baith gaya baith gaya

Tehzeeb Hafi

203 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Afzal Allahabadi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Afzal Allahabadi's ghazal.