hadsa vo jo abhi parda-e-aflak men hai aks us ka mire aina-e-idrak men hai na sitare men hai ne gardish-e-aflak men hai teri taqdir mire nala-e-bebak men hai ya miri aah men hi koi sharar zinda nahin ya zara nam abhi tere khas-o-khashak men hai kya ajab meri nava-ha-e-sahar-gahi se zinda ho jaae vo atish jo tiri khaak men hai tod dalegi yahi khaak tilsim-e-shab-o-roz garche uljhi hui taqdir ke pechak men hai hadsa wo jo abhi parda-e-aflak mein hai aks us ka mere aaina-e-idrak mein hai na sitare mein hai ne gardish-e-aflak mein hai teri taqdir mere nala-e-bebak mein hai ya meri aah mein hi koi sharar zinda nahin ya zara nam abhi tere khas-o-khashak mein hai kya ajab meri nawa-ha-e-sahar-gahi se zinda ho jae wo aatish jo teri khak mein hai tod dalegi yahi khak tilsim-e-shab-o-roz garche uljhi hui taqdir ke pechaak mein hai
Related Ghazal
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
232 likes
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen
Ahmad Faraz
130 likes
yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle
Anand Raj Singh
526 likes
More from Allama Iqbal
apni jaulaan-gaah zer-e-aasmaan samjha tha main aab o gil ke khel ko apna jahaan samjha tha main be-hijaabi se tiri toota nigaahon ka tilism ik rida-e-neel-goon ko aasmaañ samjha tha main kaarwaan thak kar fazaa ke pech-o-kham men rah gaya mehr o maah o mushtari ko hum-inaan samjha tha main ishq ki ik jast ne tay kar diya qissa tamaam is zameen o aasmaañ ko be-karaan samjha tha main kah gaiin raaz-e-mohabbat parda-daari-ha-e-shauq thii fugaan vo bhi jise zabt-e-fughaan samjha tha main thii kisi darmaanda rah-rau ki sada-e-dardnaak jis ko aawaaz-e-raheel-e-kaarvaan samjha tha main
Allama Iqbal
1 likes
khird ke paas khabar ke siva kuchh aur nahin tira ilaaj nazar ke siva kuchh aur nahin har ik maqaam se aage maqaam hai teraa hayaat zauq-e-safar ke siva kuchh aur nahin giraa-baha hai to hifz-e-khu dii se hai warna guhar men aab-e-guhar ke siva kuchh aur nahin ragon men gardish-e-khoon hai agar to kya haasil hayaat soz-e-jigar ke siva kuchh aur nahin uroos-e-laala munaasib nahin hai mujh se hijaab ki main naseem-e-sehr ke siva kuchh aur nahin jise kasaad samjhte hain taajiraan-e-farang vo shay mata-e-hunar ke siva kuchh aur nahin badaa kareem hai iqbaal'-e-be-nava lekin ata-e-shola sharar ke siva kuchh aur nahin
Allama Iqbal
0 likes
na tu zameen ke li.e hai na aasmaañ ke li.e jahaan hai tere li.e tu nahin jahaan ke li.e ye aql o dil hain sharar shola-e-mohabbat ke vo khaar-o-khas ke li.e hai ye neestaan ke li.e maqaam-e-parvarish-e-aah-o-laala hai ye chamanna sair-e-gul ke li.e hai na aashiyaan ke li.e rahega raavi o neel o furaat men kab tak tira safeena ki hai bahr-e-be-karan ke li.e nishaan-e-raah dikhaate the jo sitaaron ko taras ga.e hain kisi mard-e-raah-daan ke li.e nigah buland sukhun dil-nawaz jaañ pur-soz yahii hai rakht-e-safar meer-e-kaarwaan ke li.e zaraa si baat thii andesha-e-ajm ne use badha diya hai faqat zeb-e-daastaan ke li.e mire guloo men hai ik naghma jibraail-aashob sambhaal kar jise rakha hai la-makaan ke li.e
Allama Iqbal
1 likes
anokhi waz'a hai saare zamaane se niraale hain ye 'aashiq kaun si bastii ke ya-rab rahne waale hain ilaaj-e-dard men bhi dard ki lazzat pe marta hooñ jo the chhaalon men kaañte nok-e-sozan se nikale hain fala-foola rahe ya-rab chaman meri umeedon ka jigar ka KHoon de de kar ye boote main ne pale hain rulaati hai mujhe raaton ko khaamoshi sitaaron ki niraala ishq hai meraa niraale mire naale hain na poochho mujh se lazzat khaanmaan-barbaad rahne ki nasheeman saikron main ne banaa kar phoonk dale hain nahin begaangi achchhii rafeeq-e-raah-e-manzil se thehar ja ai sharar ham bhi to aaKHir mitne waale hain umeed-e-hoor ne sab kuchh sikha rakha hai waiz ko ye hazrat dekhne men seedhe-saadhe bhole bhaale hain mire ashaar ai iqbaal kyun pyaare na hon mujh ko mire toote hue dil ke ye dard-angez naale hain
Allama Iqbal
0 likes
asar kare na kare sun to le mirii fariyaad nahin hai daad ka taalib ye banda-e-aazaad ye musht-e-khaak ye sarsar ye wusa'at-e-aflaak karam hai ya ki sitam teri lazzat-e-eijaad thehar sakaa na hawa-e-chaman men khema-e-gul yahii hai fasl-e-bahaari yahii hai baad-e-muraad qusoor-waar ghareeb-ud-dayaar hooñ lekin tira kharaabaa farishte na kar sake aabaad mirii jafa-talbi ko duaaein deta hai vo dasht-e-saada vo teraa jahaan-e-be-buniyaad khatr-pasand tabeeyat ko saazgaar nahin vo gulsitaan ki jahaan ghaat men na ho sayyaad maqaam-e-shauq tire qudsiyon ke bas ka nahin unhin ka kaam hai ye jin ke hausale hain ziyaad
Allama Iqbal
5 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Allama Iqbal.
Similar Moods
More moods that pair well with Allama Iqbal's ghazal.







