haae vo vaqt-e-judai ke hamare aansu gir ke daman pe bane the jo sitare aansu laal o gauhar ke khazane hain ye saare aansu koi ankhon se chura le na tumhare aansu un ki ankhon men jo aaen to sitare aansu meri ankhon men agar huun to bichare aansu daman-e-sabr bhi hathon se mire chhut gaya ab to aa pahunche hain palkon ke kinare aansu aap lillah miri fikr na kiije hargiz aa gae hain yunhi bas shauq ke maare aansu do ghadi dard ne ankhon men bhi rahne na diya ham to samjhe the banenge ye sahare aansu tu to kahta tha na roenge kabhi tere liye aaj kyuun aa gae palkon ke kinare aansu aaj tak ham ko qalaq hai usi rusvai ka bah gae the jo bichhadne pe hamare aansu mere thahre hue ashkon ki haqiqat samjho kar rahe hain kisi tufan ke ishare aansu aaj ashkon pe mire tum ko hansi aati hai tum to kahte the kabhi in ko sitare aansu is qadar ghham bhi na de kuchh na rahe paas mire aisa lagta hai ki bah jaenge saare aansu dil ke jalne ka agar ab bhi ye andaz raha phir to ban jaenge ik din ye sharare aansu tum ko rimjhim ka nazara jo laga hai ab tak ham ne jalte hue ankhon se guzare aansu mere honton ko to jumbish bhi na hogi lekin shiddat-e-ghham se jo ghabra ke pukare aansu meri fariyad suni hai na vo dil mom hua yunhi bah bah ke mire aaj ye haare aansu un ko 'nasir' kabhi ankhon se na girne dena meri ankhon men inhen lagte hain pyare aansu hae wo waqt-e-judai ke hamare aansu gir ke daman pe bane the jo sitare aansu lal o gauhar ke khazane hain ye sare aansu koi aankhon se chura le na tumhaare aansu un ki aankhon mein jo aaen to sitare aansu meri aankhon mein agar hun to bichaare aansu daman-e-sabr bhi hathon se mere chhut gaya ab to aa pahunche hain palkon ke kinare aansu aap lillah meri fikr na kije hargiz aa gae hain yunhi bas shauq ke mare aansu do ghadi dard ne aankhon mein bhi rahne na diya hum to samjhe the banenge ye sahaare aansu tu to kahta tha na roenge kabhi tere liye aaj kyun aa gae palkon ke kinare aansu aaj tak hum ko qalaq hai usi ruswai ka bah gae the jo bichhadne pe hamare aansu mere thahre hue ashkon ki haqiqat samjho kar rahe hain kisi tufan ke ishaare aansu aaj ashkon pe mere tum ko hansi aati hai tum to kahte the kabhi in ko sitare aansu is qadar gham bhi na de kuchh na rahe pas mere aisa lagta hai ki bah jaenge sare aansu dil ke jalne ka agar ab bhi ye andaz raha phir to ban jaenge ek din ye sharare aansu tum ko rimjhim ka nazara jo laga hai ab tak hum ne jalte hue aankhon se guzare aansu mere honton ko to jumbish bhi na hogi lekin shiddat-e-gham se jo ghabra ke pukare aansu meri fariyaad suni hai na wo dil mom hua yunhi bah bah ke mere aaj ye haare aansu un ko 'nasir' kabhi aankhon se na girne dena meri aankhon mein inhen lagte hain pyare aansu
Related Ghazal
safar men dhoop to hogii jo chal sako to chalo sabhi hain bheed men tum bhi nikal sako to chalo kisi ke vaaste raahen kahaan badalti hain tum apne aap ko KHud hi badal sako to chalo yahaañ kisi ko koi raasta nahin deta mujhe giraa ke agar tum sambhal sako to chalo kahii nahin koi suraj dhuaan dhuaan hai fazaa KHud apne aap se baahar nikal sako to chalo yahii hai zindagi kuchh KHvaab chand ummeedein inheen khilauno se tum bhi bahl sako to chalo
Nida Fazli
61 likes
yahaañ tum dekhna rutba hamaara hamaari ret hai dariyaa hamaara kisi se kal pitaaji kah rahe the muhabbat kha gaii ladka hamaara ta'alluq khatm karne ja rahi hai kahii girwa na de bachcha hamaara
Kushal Dauneria
67 likes
tootte ishq men kuchh haath bantaate jaate saara malba mere u uupar na giraate jaate itni ujlat men bhi kya aankh se ojhal hona ja rahe the to mujhe tum nazar aate jaate kam se kam rakhta palatne ki tavqko tum se haath men haath liya tha to dabate jaate kin andheron men mujhe chhod diya hai tumne is se behtar tha mujhe aag lagaate jaate main bhi hota tere raaste ke darakhton men darakht is tarah dekh to leta tujhe aate jaate
Abbas Tabish
12 likes
khel dono ka chale teen ka d aanaa na pade seedhiyaan aati rahen saanp ka kh aanaa na pade dekh men'maar parinde bhi rahen ghar bhi bane naqsha aisa ho koi ped girana na pade mere honton pe kisi lams ki KHvaahish hai shadeed aisa kuchh kar mujhe cigarette ko jalana na pade is taalluq se nikalne ka koi raasta de is pahaadi pe bhi baarood lagana na pade nam ki tarseel se aankhoñ ki hararat kam ho sard-khaanon men koi KHvaab pur aanaa na pade rabt ki KHair hai bas teri ana bach jaa.e is tarah ja ki tujhe laut ke aanaa na pade hijr aisa ho ki chehre pe nazar aa jaa.e zakham aisa ho ki dik jaa.e dikh aanaa na pade
Umair Najmi
17 likes
nazdeekiyon men door ka manzar talash kar jo haath men nahin hai vo patthar talash kar suraj ke ird-gird bhatkne se faaeda dariyaa hua hai gum to samundar talash kar taarikh men mahal bhi hai haakim bhi takht bhi gumnaam jo hue hain vo lashkar talash kar rehta nahin hai kuchh bhi yahaañ ek sa sadaa darwaaza ghar ka khol ke phir ghar talash kar koshish bhi kar umeed bhi rakh raasta bhi chun phir is ke baad thoda muqaddar talash kar
Nida Fazli
12 likes
More from Hakeem Nasir
aankhoñ ne haal kah diya hont na phir hila sake dil men hazaar zakham the jo na unhen dikha sake ghar men jo ik charaaghh tha tum ne use bujha diya koi kabhi charaaghh ham ghar men na phir jala sake shikwa nahin hai arz hai mumkin agar ho aap se deeje mujh ko gham zaroor dil jo mira utha sake vaqt qareeb aa gaya haal ajeeb ho gaya aise men teraa naam ham phir bhi na lab pe la sake us ne bhula ke aap ko nazaron se bhi giraa diya naasir'-e-khasta-haal phir kyun na use bhula sake
Hakeem Nasir
1 likes
jab se tu ne mujhe deewaana banaa rakha hai sang har shaKHs ne haathon men utha rakha hai us ke dil par bhi kaddi ishq men guzri hogii naam jis ne bhi mohabbat ka saza rakha hai pattharon aaj mire sar pe barsate kyun ho main ne tum ko bhi kabhi apna KHuda rakha hai ab mirii deed ki duniya bhi tamaashaai hai tu ne kya mujh ko mohabbat men banaa rakha hao pee ja ayyaam ki talkhi ko bhi hañs kar naasir gham ko sahne men bhi qudrat ne mazaa rakha hai
Hakeem Nasir
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Hakeem Nasir.
Similar Moods
More moods that pair well with Hakeem Nasir's ghazal.







